Advertisement

Prediction About Turkey - ترکی کے خلاف آج اہل کفار سازشیں کیوں کر رہے؟

khudaa ne insaanu ko jis maqsad ke liye peda kiya hai us ko haasil kerne ke liye khudaa ne insaanu ko sab kuchh de diya hai program samait. is ke liye paish goyun ki zaroorat nahin hai. lihaaza program ko samajhne ke liye quraan padho keh ye manshoor hai jis ko is ke qabool kerne waalun ne duniyaa bhar ke insaanu main theek tarah se pohnchaana hai.

agar ye nahin to phir baaqi sab baaten logoon ne apni taraf se banayee hui hen. in ke aasre per apni zindagiyan barbaad mat karo. mullaan log qatan deene islam ko nahin jaante agar jaante hote to aaj aik musalmaan ummat laaziman mojood hoti aur us ki ye haalat na hoti jo ham apni nazrun se khud dekh rahe hen. ummat ka mojood na hona is baat ka pakka saboot hai keh khud ko musalmaan kehlwaane waale taqreeban sab ke sab gunmrah log hen.

agar khud ko musalmaan kelhwaane waalun ki sirf aksariyat hi rah per hoti to woh quraan ko theek tarah se jaanti aur is per theek tarah se amal bhi ker rahee hoti magar aisa kaheen bhi nazar nahin aa rahaa. in logoon ki aksriyat mukammal tor per quraan ke asal paighaam se poori tarah anjaan hai. deene islam daari rakhne, kurta shalwaar aur topi pehenanane ka naam nahin hai.

deene islam insaaniyat ke liye khudaa ki taraf se aik maasharti nizaam hai jis ko insaanu ne apne faaide ke liye duniya main qaaim kerna hai. magar jab log is ko samjhen ge nahin to is ko qaaim kia karen ge? quraan ki nazar main her woh shakhs jo is haqeeqat se bekhabar hai aur khud ko musalmaan bhi kehlaata hai khudaa ke haan sakht tareen mujrim hai. lihaaza agar deene islam ko theek tarah se quraan se samajhna hai to is ke liye khud ko tayaar karo. is main paishan goyan aap ki kia madad ker sakti hen? asal baat to ye hai ham insaanu ne khudaa ke porgram ko saheeh tarah se kahaan tak pohnchaaya hai. ham ne quraan ke saath jo kiya hai us ka nateeja khud hamaare apne saamne hai. For proper context of understanding of the quranic message see HERE.