Advertisement

Locusts (insects) in Mecca? A Sign of The Last Days? A Warning or "Just " Nature? ( A Deeper Look)

Advertisement
I think it's natural happened....Although many signs already there in the world before End of Times..But when it's happened..Only Allah swt know..No man can calculate the exet or near that time..
 
I have seen those Locusts with my eyes, i visited Haram Pak for more than 10 times in almost all the weathers... but didn't see those Locusts there... this was the 1st time i am looking so...
 
pakistan bante hi riyaasate madina nahin ban gayaa tha. is ki wajah ye thi mullaan ne logoon ko kabhi bataaya hi nahin tha keh riyaasate madina thi kia aur woh banayee kyun gayee thi yaa woh bani kaise thi.

agar meri baat ghalat hai aur aap ko saheeh baat maloom hai to aap bataa do ye baaten agar mullaan ne aap ko ye baaten batayee hui hen. taqreeban sab ke sab mullaan is maamle main kuchh bhi nahin jaante.

pakistan banane se pehle aur baad taqreeban sab log aik hi zehni haalat main rahe. un ke rawaiye aur kaam wohee rahe aur hen. log bas apne liye jeete rahe deene islam ke nazriye ke liye nahin.

sir syed ne, imaam farahi ne, iqbal ne, jinnah ne, parwez ne in ko apne apne ilm ki had tak jagaane ki koshish ki deene islam ke baare main magar ye log nahin jaage. aaj bhi log apni zaat se aage soch hi nahin sakte. kia aise log riyaaste madina banaa sakte hen? her giz nahin.

riyaaste madina sab logoon ne mil ker banayee thi is liye keh un ke zehnoo per paighambare khudaa ne mehnat ki thi. unhune logoon ke dil apni zaat ke liye jeene ke nazriye se paak ker diye the quraan ki taleem de ker. unko ye ehsaas dilaa diya tha apne liye jeena jeena hi nahin hota balkeh maut hoti hai insaaniyat ki. zindagi wohee hai to doosrun ke liye ji jaaye. issi liye log aik ummat ban sake the. yaa rakho9 jo log apne liye jeete hen woh kabhi bhi aik ummat ban hi nahin sakte. un ko to aapas main ladne se hi fursat nahin mil sakti woh ummat kaise ban sakte hen?

hadeesoon ki kitaaboon main bahot si ghalat baaten khudaa, rasool aur un ke saathiyun ke baare main un logoon ne daal leen jo jaante hi nahin the deene islam kia hai. issi liye unhune deene islam ke bajaaye malukiyati nizaam apnaa liya tha aur yun woh khud ko hukamraan aur sultan kehlaate the, baadshah aur shehanshah kehlaate the. un logoon ne khudaa ko aasmaan main rakh diya aur khud is duniya ke khudaa ban baithe.

socho nabi ke baad aisa huwa kaise ya ho kaise sakta tha? jis waqt aap in baatun ka jawaab dene ke qaabil hun ge aap riyaaste madina bhi banaaa len ge warna nahin.

riyaaste madina ka nizaam deene islam tha magar aap ko to maaloom hi nahin dene islam hai kia balaa. aap ne to mullaan hi ke ghalat salat tarjamen padhna seekha hai jo aap ko mullaan ka ghulaam banaate hen, issi liye aap hukamraanu aur sarmayadaroon ke ghulaam bane huwe ho aur khud ko bahot kuchh samajhte ho aur phir haath sar per rakh ker rote bhi ho.

lihaaza riyaaste madina banaane se pehle yeh maloom karo riyaaste madina thi kia. is ka naqsha aaj bhi quraan main mojood hai agar quraan ko drust tareeqe se samajh sako.

mullaan to insaani hukamraanu ki hukamraani ko drust kehta hai. mullaan to nafe nuqsaan ki bunyaad per tijaarat ko ain deene islam kehta hai. mullaan to mullaiyat ko drust kehta hai. kia mullaan ki ye baaten drust hen ya ho sakti hen quraan aur haqaaiq ki roshni main? apna aqlo fiker istemaal karo agar hai to. nahin to seekho. aap to woh log ho keh mullaan ne aap ko pooja paat main lagaa diya aur aap khushi khushi is main lag ge. aap ne kabhi socha hi nahin pooja paat deene islam ho hi nahin sakta. deene islam to dastooro qanoon ka naam hai mumlikate khudaawandi ke liye.

din raat rote ho koi dastooro qanoon ki pabandi nahin kerta magar ye nahin sochte ho deene islam main dastooro qanoon ki ehmiyat kia hai? yahee ain deene islam hai, yani quraan ke ain mutaabiq dastooro qanoon. For a detailed explanation of things about the quran and deen of islam see HERE and HERE