Allah-ho Ki Zarbain | حلقئہ ذکر | صوفیا کی محفل میں اللہ ھو کی ضربیں

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
her dor aur her jaga ke kerte dharta log apne logoon ki aisi zehn saazi kerte hen jo un ke liye faaide mand ho.

in logoon ko munaasib lagta hai keh in ki awaam mazhabi aur secular zehniyat ka shikaar rahe aur in ka kaam chalta rahe.

islam ka deo malaayee amliyaat aur wazeefun se koi taaluq hi nahin hai. ye to aik baamaqsad nizaam hayaat hai. jis ke liye ye tehreek ka taqaaza kerta hai agar logoon ne is ke diye ge maqsade zindagi ko haasil kerna hai. ye aik ilmi aur amli inqilaab ka taqaaza kerta hai.

mazhab aur secularism insaanu ko jaanwar banaate hen aur yun un ko aik doosre ka aaqa aur ghulaam banaate hen. islam insaan saazi kerta hai aur insaanu ko insaanu ki aqaaie aur ghulaami se azaadi deta hai.