Advertisement

’’خبردار! "جس نے میری سنت سے انکار کیا وہ ہم میں سے نہیں ہے ۔

اللہ تعالیٰ فرماتے ہیں

عَامِلَۃٌ نَّاصِبَۃٌ٭تَصْلیٰ نَاراً حَامِیَۃً
الغاشیۃ:۳،۴

دنیا میں عمل کرکرکے تھکے ہوئے دہکتی ہوئی آگ میں داخل ہوں گے۔
کیونکہ ان کے اعمال سنت کے مطابق نہ ہوں گے بلکہ بد عت وخرافات پر مبنی ہوں گے۔
حضرت انس بن مالک سے مروی ہے کہ تین آدمی ازواج مطہرات کے پاس گئے اور رسول اللہ ﷺ کی عبادت کے بارے میں پوچھا۔جب ان کو بتایا گیا تو گویا انہوں نے اس کو کم سمجھا۔ان میں سے ایک نے کہا کہ میں ہمیشہ رات کو عبادت کروں گا ‘دوسرے نے کہا کہ میں ہمیشہ دن کو روزہ رکھوں گا‘تیسرے نے کہا کہ میں کبھی شادی نہیں کروں گا۔جب بنی ﷺ کو اس بات کا علم ہوا تو آپ نے سختی سے منع کر دیا اور فرمایا
فمن رغب عن سنتی فلیس منی
بخاری ‘مسلم
’’خبردار! "جس نے میری سنت سے انکار کیا وہ ہم میں سے نہیں ہے ۔
حالانکہ انہوں نے نیکی کا ہی اظہار کیا تھا لیکن وہ نیکی سنت کے مطابق نہ ہونے کی وجہ سے نبی ﷺ نے منع کر دیا۔



14191970_892974924135748_6592424157538234205_n.jpg



​
 
1)isse pehle keh koi sunnat ki baat kare us ka kaam hai sunnat ki drust taareef bayaan kare jo quraan ke ain mutaabiq ho. yeh is liye keh deene islam ki jad bunyaad sirf aur sirf quraan hi hai. baaqi sab cheezen is ke maateht aati hen, na is ke baraabar na is ke ham palla.

2)quraan main khudaa ne anbiyaa ka maqaam saaf saaf bataa diya hai. woh maqaam yeh hai keh woh insaan the, koi aur makhlooq nahin the jin ke paas qudrati insaani taaqtun se badh ker taaqten hun. issi liye un per bhi wohee kaifiyaat guzarti thin jo insaanu per guzarti hen siwaaye waheiye khudaawandi ki kaifiyat ke. woh insaanu ke tarah peda hute the, khaate peete the, bache peda karte the waghera waghera aur aakhire kaar is duniya se mer ker kooch farmaate the jaisa keh deegar insaan is duniya se jate hen mer ker.

3)anbiyaa se ghalatiyan sarzad ho jaati thin aur un ka ziker khud quraan hi main hai.

4)ghalat baatun main kisi ki bhi peravi kerne se khudaa khud rokta hai lihaaza ghalati ki soorat main anbiyaa ki peravi bhi drust nahin hai na apne abao ajdaad ki yaa kissi mullah mufti ki. yahaan her aik ko apni aqlo fiker se kaam lene ki hidaayat di gayee hai quraan main. quraan kaheen bhi yeh nahin kehta keh agar kissi paighamber ne koi ghalati ki hai to bhi aankhen band ker ke ussi ke peechhe peeche tum bhi woh ghalatiyan ker anbiyaa ki sunnat samajh ker.

5)lihaaza zaroori hai sunnat ki taareef quraan ki in sab baatun ki roshni main ki jaaye. agar kisi ne aisi taareef sunnat ki ki hai to us ka qol reference ke saath naqal kiya jaaye. agar aisi koi taareef sunnat ki mojood nahin hai to phir khud is baat ki taareef ki jaaye quraan ki roshni main. jab tak aisa nahin kiya jaaye ga na kissi baat ko jo nabi se mansoob ho sunnat kehna drust hai na us per amal karna drust hai, iss liye keh quraan aisi baatun ke peechhe lag jaane se mana karta hai jin ka ham ko theek tarah se ilm na ho keh woh drust hen.

6)yeh baat koi mullah saabit hi nahin ker sakta keh nabi ka her qolo fail sunnat hai aur us per amal karna laazmi hai. is ki wajah yeh hai nabi ke her qolo fail ka haata karna insaanu ke bas ki baat hi nahin hai. insaan ki haalat to yeh hai keh woh apni mukammal tawaja kisi per bhi musalal mazkoor hi nahin ker sakta din raat. koi insaan bhi agarche keh woh khudaa ka sacha paighamber hi ho khud apni tawajah musalsal bariqraar nahin rakh sakta din raat. agar khudaa ke paighamber aisa ker sakte to ghalatiyan kyunker kar jaate? ham aik taraf dekhte hen to doosri taraf koi kuchh ker guzarta hai jis ka ham ko ilm hi nahin hota. lihaaza yeh kaise mumkin hai koi bhi kissi bhi paighamber ka her qolo fail yaa her herkat likh sake?

7)lihaaza deene islam sirf woh hai jis ko quraan ki roshni main drust saabit kiya jaa sake baaqi sab mullah ki apni mangharat baaten hen jin se woh khwam khwaa apne apne maqaasid ke liye logoon ko bewaqoof banaate hen.

8)jin logoon ko quraan aur deene islam se mutalqa bunyaadi baatun tak ka ilm nahin un ko is maamle main ehmiyat mat do warna apna deeno imaan kharaab ker lo ge. mullah ne bahot se aise kaamu ko khudaa aur rasool ki taraf nisbat de ker ummat ko un ke peechhe lagaa diya hai jin ka deene islam se door ka bhi waasta nahin hai, lihaaza logoon ko mullah ki nahin quraan ki baatun ko theek tarah se samajh ker un per drust tareeqer se amal karna chahiye. For a detailed explanation of the quraan and deen of islam see HERE and HERE.