Mera khiyaal hay Pervez Elahi ko kuch na kuch aqal aa gai hogi, ye jo CM ship hay ye bhi Big House kay inkaar kay bawajood milli hay. Pakistan mein boht kuch Big House kay kahney pe hota hay lakin ye nahi kah saktey keh sub kuch Big House kay kahney pe hi hota hay. Big House Hamza Shahbaz ko CM rakhna chahta tha kionkeh PDM kay sath jo deal hui thi us mein yehi likha tha, isi liey Nawaz sharif nahi aa raha or kahta hay pahley Punjab lay kar do, Punjab mein baith kar hi to PMLN & Sharif family saari dhandhali karti thi, jub Punjab hi hath mein na hua to election kaisey manage karein ge???Punjab ager PMLN kay pass hota to Nawaz sharif ab tuk aa chuka hota, Big House ne boht zor lagaya, Zardari kay zariey Choudhary Shujaat tuk ko mana lia, lakin Pervez Elahi bach gia jo Imran Khan kay sath aa gia, CM bhi ban gia or next election mein bhi kuch na kuch mil jay ga, aaj ager Pervez Elahi Imran khan kay sath na rahey to na hi CM rahey ga na hi next election mein kuch miley ga. Next election PMLN to Q League ko kuch nahi de gi or ager Imran Khan ka sath bhi na raha to Q League ka total safaya ho jay ga