Advertisement

پاکستان ۔۔۔۔ آسانیاں پیدا کرنے والا ملک


9rsthk.jpg






article-15-5-121.jpg





​
 
Last edited by a moderator:
Advertisement
Ek haijaan hai, bukhaar hai keh jis mein qaum mubtila hai. NATO supply kholna hamein pasand nai. magar kyun ? itnay saaray "kuffar" ko bulaatay waqt tu hamari hamiyyat soi hui thi, ab jaag gai hai tu pata chala hai keh sab ghalat hua hai ab tak. Chalo achhi baat hai magar dunya ko ek "taza taza ghairat mand" qaum se baat karnay ki ijaazat tu du. Dunya nai, aap badal gai hain, is tabdeeli k ba'ad dunya aap se jo kahay, woh suno aur apnay faisaly karo. aap zyada se zyada woh kuchh manwa saktay hain, jo dunya ka dastoor hai. apnay nuqsanaat ka badla, India ka Kabul mein role, Maali madad waghera. Lekin agar aap is khalis fauji, difaei aur kharja ta'aluqaat k masalay ko Liaqat bagh mein nooray gaamay se pooch kar hal karna pasand kartay hain tu Bism-e-Allah ! Serbs ko bhi UN ki samajh nai aa rahi thi, Ghaddafi bhi UN ko theenga dikha raha tha, Saddam bhi oonchi hawa mein parwaaz kar raha tha. sab ne jaan boojh kar dostun ki suni unsuni kar di, moonchhun ko bal detay gaey, jab tak keh mulk ka peepa pichak nai gaya aur khud un ka apna bhi.