Advertisement

وہ کون سا عمل ہے جو آپکو بری موت سے بچاتا ہے؟

Advertisement
ye hai in logoon ki mazhabi zehniyat keh khudaa ko ghusse waala keh rahe hen. quraan main jo ilfaaz bhi istemaal huwe hen un ke maani achhe bhi ho sakte hen aur bure bhi. lihaaza ilfaaz ke aise maani karo jo khudaa ki zaat ke sazawaar hun. khudaa kisi ko bhi azaab nahin deta haan jo koi ghalat kaam kerta hai us ghalati ka anjaam us ko pohnchne deta hai. yahee hai quraan main aisi baatun ka asal matlab.

ye is liye keh khudaa ne logoon ko peda ker diya aur un ki zarooriyaat ke tamaam saamaan mohiya ker diye aur un ko hidayaat bhi de deen. ye bataa diya keh agar woh nahin karo jo bataaya hai aur woh karo ge jisse roka hai to phir tum log jaano aur tamaare kaam jaane, yaani jo karo ge us ka nateeja aap khud hi bhugto ge. logoon ko ikhtayaar diya gayaa hai keh woh khudaa ka bataaya huwa raasta chunen aur us ka diya huwa maqsad poora karen ya apni apni merzi karen aur apne apne maqaasid chunen aur apne apne raaste chunen aur apne apne anjaam ko pohnchen.

yahee wajah hai log chahen to apni zindagi jannat banaayen aur chahen to jahanam. lihaaza jis ko khaatama bil khair chahiye us ko chahiye woh asal deene islam ko dhoonde quraan se aur agar us ko asal deene islam ki samajh aa jaaye to phir us ko doosrun ko bhi bataaye taa keh log asal deene islam ki taraf aayen aur miljul ker aik islami maashra banaa saken aur us maashre ko achhi tarah se qaaim bhi rakh saken. yahee asal kaam hen kerne ke agar koi kerna chahe. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE and HERE.