nazriye ka drust hona is baat ki zamaanat nahin hai keh log us ko samajhte bhi hen. yaheeh wajah hai aaj tak mulak aik se aik badh kar museebat main giriftaar hota jaa raha hai.
nazriyae paksitan ain islam ki baat hai mullah ke bebunyad aqaaid ki nahin jinhune mulak ko firqun main phansaa kar ajeeb karb main mubtila kar diya hai.
ain islam ka yeh bhi matlab nahin hai jo sir syed ne kaha tha sirf woh islam hai yaa jo iqbal ne samjha tha sirf woh islam hai ya jo parwez ne samjha tha sirf woh islam hai. jis ne jo kuchh bhi samjha woh us dor ke liye hi tha kyunkeh us waqt duniya ke paas ilm hi issi had tak tha. aaj zaroorat is baat ki hai keh un usoolun par jo imaarat tayaar ki gayee hai us par se kuchh radde jo lagaaye the un ko utaar kar kuchh drust raade dhare jaayen.
is ke liye ne sire se qurano hadith aur fiqh ke tarjamun aur tafseerun ki zaroorat hai. jab tak ham is zaroorat ka ehsaas nahin karte aur aise tarjame saamne nahin laate islam ko ham log duniya ke saamne yun ujaagar nahin kar sakte jesa ke is ka haq hai. issi baat ki ham ko sazaa mil rahee hai ham log ghalat salat nazriyaat ko islam ke nam par phelaa rehe hen warna kaise mumkin hai islam logoon ke dilun ko fata na kar sake? ham ko ilmi kaamu main dilchasbi dikhaani ho gi agar ham apni aur baaqi insaaniyat ki bhalayee ke talabgaar hen. kyunkeh yeh kaam mil kar karne ka hai aur milkar hi kiya jaa sakta hai.
jo kaam mil kar karne ka hai us ke liye ham ko milne ke raaste dhoondhne hun ge.