Advertisement

مجھ سے نماز نہیں پڑھی جاتی۔۔۔۔ تو خیر ہے؟؟

muslim-woman-praying%2Bcopy.jpg

"میڈم مجھے ایک بات پوچھنی ہے" اس روز وہ کلاس کے بعد میڈم مصباح کے پاس چلی گئی تھی۔

"جی ضرور پوچھیئے" میڈم بہت توجہ کے ساتھ اس کی طرف پلٹی تھیں۔

"وہ میم۔۔۔ مجھ سے نماز نہیں پڑھی جاتی۔۔۔۔ تو خیر ہے؟؟"

"ہاں کیوں نہیں۔۔ خیر ہے۔۔ اٹس اوکے اگر آپ نہیں پڑھ سکتیں تو" محمل کو لگا منوں بوجھ اس کے کاندھوں سے اتر گیا

ہو۔۔ وہ ایک دم قید سے آزاد ہوئی تھی۔۔۔۔۔

"وہی تو میم۔۔۔۔ میں باقی نیکیاں کر لوں۔۔۔ قرآن پڑھ لوں۔۔۔ ٹھیک ہے نا۔۔۔؟؟ نماز پڑھنا بہت ضروری تو نہیں ہے۔۔ "

"نہیں اتنا ضروری تو نہیں ہے۔۔ اگر آپ نہیں پڑھنا چاہتیں تو نہ پڑھیں۔۔۔۔۔"

"میم کوئی فرق تو نہیں پڑے گا نا۔۔۔۔؟؟؟؟ "

"قطعا ْ فرق نہیں پڑے گا۔۔۔۔ یہ بالکل آپ کی اپنی مرضی پہ ہے۔۔۔۔۔۔۔"

"اوہ۔۔۔ اوکے" وہ بے حد آسودہ سی مسکرائی۔۔۔ مگر میڈم کی بات ابھی ختم نہیں ہوئی تھی۔۔۔۔

"یقین کریں محمل۔۔۔۔ کوئی فرق نہیں پڑے گا اسے۔۔۔ آپ بیشک نماز نہ پڑھیں۔۔۔ بیشک سجدہ نہ کریں۔۔ جو ہستیاں اس کے

پاس ہیں۔۔ وہ اس کی عبادت سے تکبر نہیں کرتیں اگر آپ کر لیں۔۔۔۔ اسے کیا فرق پڑے گا۔۔؟؟

اس آسمان کا بالشت بھر حصہ بھی خالی نہیں جہاں کوئی فرشتہ سجدہ نہ کر رہا ہو۔۔۔اور فرشتہ جانتی ہیں کتنا بڑا ہو سکتا

ہے؟؟ جب اس پہاڑی پہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے جبرائیل علیہ السلام کے پکارنے پر پلٹ کر دیکھا تھا۔۔۔ تو

جبرائیل علیہ السلام کا قد زمین سے آسمان تک تھا۔۔۔ اور ان کے پیچھے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو آسمان نظر نہیں آ

رہا تھا۔۔۔ ایسے ہوتے ہیں فرشتے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ 70 ہزار فرشتے کعبہ کا روز طواف کرتے ہیں۔۔۔۔ یہ تعداد عام سی لگتی ہے۔۔۔

مگر جانتی ہیں۔۔۔ یہ جو 70 ہزار فرشتے روز طواف کرتے ہیں ان کی باری پھر قیامت تک نہیں آئے گی۔۔۔۔۔۔۔

اس رب کے پاس اتنی لاتعداد ہستیاں ہیں عبادت کرنے کے لئے۔۔۔۔ آپ نماز نہ بھی پڑھیں تو اسے کیا فرق پڑے گا۔۔۔؟؟؟؟ "

میڈم مصباح جا چکی تھیں۔۔۔۔اور وہ دھواں دھواں چہرے کے ساتھ کرکتابیں سینے سے لگائے ساکت کھڑی تھی۔۔۔اس کو

لگا۔۔۔۔۔۔۔۔۔ اب وہ نماز کبھی نہیں چھوڑ سکے گی۔۔۔۔۔۔۔۔۔

(نمرہ احمد)
​
 
Advertisement
Allah koo hamree ibaadaaat ke zuroooorat naheee, per hamain Allah ke ibadaat kee zuroorat hay because Allah is great oor us kee wahdanniaat kaa itraaf karnaa oor uss kay siwaa kisee koo bee shareek e ibdaat karnaa Muslmaaniat khataam kar dataaa hay. Allah say duaa hy kay hamain deen kee samaaj ataa farmain......Ameen
 
beshak hame allah ki ibdat ki zorarat ha allah ky pas to aur boht se muklooq ha ibdat krne kele so we sholud offer our prayers on time on daily basis.
 
Last edited by a moderator:
Advertisement
She is a great writer, one of my favourite. . .check out her masterpiece "Mashaf" she says Quran talks to people who really wants to listen. .
 
mera to namaz ka apna hi aik falsafaa hai aur woh yeh ke din main kam az kam aik namaz to zaroor parhni chahiye kuin ke kam az kam aik baar to Allah ke aage zarorr sar jhukana chahiye , kuch logon ne aik namaz main nahi parhi hogi lekin Allah ussay jannat main jagah de de ga lekin woh to bus kuch hongay na har koi to nahi ho sakta na jaise ke ab aap dekhain na ke bhutto ne ziada namazain nahi parhi lekin sab se pehle Allah ne unhay shaheed banaya phir unhau jannat bhi di phir Allah meherbaniyon ke kia kehnay ke Allah ne yehi muqam Shahnawaz ko phir murtaza ko aur phir be nazer ko diya .. haan to bai baat to namaz ki ho rahi thi lekin main ne socha baton baton main aap sahiban ko kucg guide karta chalon to dekhain na doston baat to bus seedhi si hai ke namaz farz hai lekin Allah jissay oocha rutba dena chahay to phir Allah ko to koi nahi rook sakta na aur Allah ki to shan hi nirali hai aur mujhe aap logon se bhi aik gilla hai lekin phir sahi , ab dekhain na Allah ne tareekh main aik aise shaks ko bhi jannat di thi jis ne aik namaz bhi nahi parhi thi to phir bhutto ke naam per aap logon ko takleef kuin ???
 
Sohrab bhai yeh jo aap her guftagoo mein kahin na kahin se Bhutto family ka zikr zaroor laate hain is mein kia hikmat hai....Ya forum per logon ko teeli lagane ke liye aisa krte hain???:lol:
 
Sohrab bhai yeh jo aap her guftagoo mein kahin na kahin se Bhutto family ka zikr zaroor laate hain is mein kia hikmat hai....Ya forum per logon ko teeli lagane ke liye aisa krte hain???:lol:

Mohtaram e azizi aaj sirf 2 threads main aisa hua hai , aik us mohabbat ki poetry wali thread main aur dosri is thread main aur in dono threads main bhutto ka zikar karna bohut zaroori tha , mohabbat wali thread main to is liye kuin ke croron loogon ko bhutto se mohabbat hai aur is thread main bhutto ka zikar is liye kia kuin ke colonel Rafi ud din ne us qaid khanay main jis main zia ul haq ne bhutto ko qaid kia tha , us qaid khanay main Rafi ud din ne kaha tha aik din bhutto muj se kehne lagay , yaar rafi ud din aaj kal ahmadi mere bare main keh rahe hain ke meri maujooda haalat un ke khalifa ki bad dua ka asar hai kuin ke main ne in ko parliament main ghair muslim qarar diya to agar ahmadi aisa samajhte hain to samajhte rahain kuin ke jab woh Hazrat Muhammad SAW ko aakhri peghamber hi nahi mante to phir woh kaise musalman ho gaye , us k baad bhutto kehne lage ke Rafi ud din yeh ahmado loog Pakistan main main woh muqam chahte hain jo america main yahoodiyon ko hasil hai ke Mulk to musalmon ka ho lekin is mulk ki har policy in ahmadiyon ki marzi se chahalay , Phir bhutto kehne lagay yaar Rafi ud din main to bohut hi Gunnah gaar insan hoon , Lekin kia pata Allah mujhe meri is aik Naiki k bale main maaf kar de

Us k baad Cononel Rafi din kehne lagay ke main ne is Qaid Khanay main bhutto ko kabhi namaz parhte nahi dekha , kabhi un ko tasbeeh karte nahi dekha , main samajhta tha bhutto ko gunnah aur sawab ka koi ahsaas nahi , is ko khuda ka koi khauff nahi , Lekin us din mujhe ahsas hua ke muamla to bilkul opposite hai

Ab aap samjhay bhai hikayat e junoon ke meri is post k peechay hikmat kia thi
 
Sohrab bhai yeh jo aap her guftagoo mein kahin na kahin se Bhutto family ka zikr zaroor laate hain is mein kia hikmat hai....Ya forum per logon ko teeli lagane ke liye aisa krte hain???:lol:

aaj aik aur bhi raaz ki baat bata doon pehli baar , mujhe bhutto ke sirf un mukhalifeen par ghussa aata hai jo army ke supporters hoon aur main forum per bhi sirf unhi ke saath moon maari karta hoon
 
نواب صاحب آپ نے ایک راز کی بات بتانی تھی . آپ نے دو راز کی باتیں بتا دیں.