Party ko shadeed nuqsan kia hona hai ? PTI abhi tak apni iqtedaar k liay pehli koshish kar rahi hai, is liay bunyaadi ahmiyyat IK aur awaam ki hai. baqi kursi nasheeno ka apna koi maqam bana hi naheen, siwaye chand markazi logon k jo taweel arsa se doosari partiyon main bhi kisi maqam k hamil reh chukay hain. yeh sab aapas main sard jang beshak karain lekin sab ko pata hai keh PTI ka ticket kamyabi ki kunji hai, koi bhi janay wala naheen aur na hi in ki narazgiyon se IK, PTI aur awaam ko koi farq padna hai. IK isi liay har chothay din kaheen na kaheen se aanay wali bak bak par dhiyan nai deta, us ko pata hai keh election k qareeb aatay hi ya tu IK se wafadari ka elaan karna ho ga aur ya PTI se out. Koi bhi IK se "mutalbay" karnay ya ultimatum denay ki position main naheen hai.