Tum tu yehi chaho ge ke awam ko gumrah kar sako ke battle Nooraay aur Mr. 10% ke darmaain hai.
Lekin ab tum gumrah nahi kar saktay! Nooray aur Zardari mein sirf eik battle hai - NooraKushti ki, jhoot ki, aur corruption ki.
Nooraa aur Zardari eik sikay ke do rukh hain. Nooraay ka mask utaro ge to Zardari nazar aye ga aur Zardari ka utaaro ge to Nooraa nazar aye ga.
5 saal tak Nooraay ne Zardari ki hakumaat ko support kia. Ab hamain na batana ke NOoraaa Zardari ka kitna bara mukhaalif hai.
Jahan tak "katputli" bannay ka taulaq hai, tu batana pasand karo ge ke Zia-ul-Haq ka Malishiya kon tha? IJI mein kon shaamil tha aur kon sab se bara beneficiary tha? Kis ne 35 lac rupay liye? Kon agencies ki najaiz siasi paidawaar hai?
Ab jhoot nahi chale ga.
Asali battle Status Quo vs. Change hai.
Status quo = PPP, PMLN, MQM, JUIF, ANP and other ruling parties.
Change = PTI.
Tahir ul Qadri eik drama hai jo jald dum tor jaye ga.
Jis raftaar se is aag ne PML-N ko apni lapet mein lia, us ka andaza Siddiqui aur Qasmi ki bhinnahat se kar lijiyay.PPP ko bhi dhakka tu laga lekin un ki jaib bhar chuki hai, lihaza woh Qadri sahib k dhamakay se is tarah baolay nai huay.PML-N ko apna dalia zameen par girta nazar aata hai.
Hindustaniyun ne bhi is haftay hum Pakistaniyun ko ek bhoola sabaq dubara yaad karaya hai. Delhi mein chalti bus k andar ek ladki ka gang rape hua tu police FIR katnay tak par tayyar na thi, phir media ne yeh issue lia, log road par aa gaye tu police ne laathi charge kya, majal hai jo hakoomat k kaan par joon reengi ho. 4 din k baad yeh issue zyada dhamakay daar hu gaya, jalooson ne zor pakad lia tu hakoomat yaaon yaaon karti tawajju denay par majboor hui. Ab haal yeh hai keh woh ladki ilaj k liay Singapore mein hai aur hakoomat us ko US bhejnay ki yaqeen dahani kara rahi hai.
Yeh hai siasat daanu ka asli chehra ! yeh log tab tak apni dhun mein magan rehtay hain jab tak ghareeb joota le kar in ka gherao na kar lein. Pakistaniyun k liay sabaq yeh hai keh jab tak in ko jootay naheen maro gey, yeh jamhooriyyat aur pata nai kis kis naam se khoon peetay rahein gey. Qadri sahib ka Allah bhala karay, agar joota le kar Islamabad aa gaye tu ilaj bhi kar lein gey. hamara problem jamhooriyyat ka tasalsul nai, aur na hamein kisi ki nationality se gharaz hai. jo hamaray masaail k hal ki baat karay, wohi sacha leader hai.
In Case you dont understand , what is meant by Gut feeling
. [HI]Gut feelings are generally regarded as not modulated by conscious thought, and as a reflection of intuition rather than rationality[/HI]. They are thought to originate from the brain's insular cortex.