insaanu ki bhalayee sirf aur sirf quraan ko theek tarah se samajhne main hai agar woh khud quraan ko theek tarah se samajh ker us ko doosrun ko theek tarah se samjhaayen. kyunkeh quraan ke nazool ka maqsad poora kerne main insaanu ki bhalayee hai.
jo shakhs is sayaaqo sabaaq se hat ker logoon ko islam bataata hai un ko gumrah kerta hai.
allah taala ki razamandi waalidain ki razamandi main nahin hai balkeh allah taala ki razamandi main waalidain ki raza mandi honi chahiye warna waalidain bhi jahanami aur aulaad bhi jo aik doosre ko raazi kerne main apna waqt barbaad karen allah taala ki wahee ko aik taraf rakh ker.
mullaan ne is ummat ko barbaad hi inhi betuki baatun se kiya hai.
quraan main to yahee likha hai agar deen se deegar log payaare hen to jaao apna kaam karo.
deen kia hai? ummat banana aur ummat kaise banti hai? miljuil ker yakjaan ho ker. apne apne khaandaan ko le ker jeene ka tasawur deene islam main hai hi nahin. sab musalmaan aik hi khaandaan hen. sab ne aik doosre ki poori poori nigedasht kerni hai.
mullaan ke mazhab ne deene islam ko sadiyun se logoon se chhupaaya huwa hai. logoon ko deene islam ko apni mehnat se phir se apne aur aik doosre ke saamne laane ki zaroorat hai agar woh is duniya main izzat se jeena chahte hen warna jo ji chahe karen izzat se ji hi nahin sakte. hamesha aik doosre ke gale kaatate rahen ge uljhanoo ka shikaar rehne ki wajah se. jis ka sabab un ki apni jahaalat hai.