tauba uss amal ka aaghaz hai ke hum ne jo kisi ka haq amra thaa uss ke gunah aur uss ke natijay main aanay wali pakr se jaan chhoot jayay. baqi uss nuqsan ka izala kerna bhee utna hi zuroori hay jitna tauba kerna.....
Yaqeenan wo Rahman aur moaf karnay wala hai, lekin kia may is umeed par huqooq ul ibaad kay khilaf aur insaniat kay khilaf gunah kiay jaoon kay Allah taala muaf farma daingay. Jee nehin bilkul aisa nehi hai. Muafi khata ki hoti hai qasdan aur musalsal jurm ki muafi ka Allah taala nay kahin waada nehin kia hai. Yehi waja hai kay musalman gunahon say ijtinab nehi kartay kion kay unko kaha jaata hai kay sab kuch muaaf ho jaiy ga. Agar aisa hai tow pher saza kis kailiay hai?