Shukar hay logon ko samaj arehi hay k kon aisay logon ko lauch karta hay, warna jab yehi log Noon k dour mayn nikaltay thay tou fifth generation aur one page walay warriors insay bari muhabbat kartay thay. Baat wohi hay k asool pay har cheez ko dekho gay tou haq par hogay, agar Noon k dour mayn PTI inki sahi say goshmali karti aur hakoomat k sath khari hoti, tou baad mayn inn jesi rental protesters ko asani say rok pati lakin nahi, theek aur ghalat ka faisla asool pay nhi kiya jayega balkay iss bat pay kiya jayega k kon PTI k sath hay aur kpn khilaaf, phir iskay baad chahay FOUJ mulk ki aint say aint baja day, wo theek hogi, wo chahay kisi pay charas dal day, kisi sahafi ko larki ka bahi bun k maraay ya kisi ko goli hi maar day, sab theek hoga, sab best hoga kiyonkay tab PTI aik havaldar ka role play karehi hogi, phir Pashteen bhi ghaddar hoga aur Asma jahangir bhi, lakin aik dafa wohi FOUJ, wohi kaam doosron k sath mil k karay tou general ghalat bhi hayn, corrupt bhi hayn aur ghaddar etc bhi hayn. Gimme a break