Advertisement

اللہ کی عباد ت کرو اور اس کے ساتھ کسی کو شریک

Advertisement
Re: اللہ کی عباد ت کرو اور اس کے ساتھ کسی کو شری&amp

kia yeh jo kuchh ho raha hai shirk hai? is ka drust jawab wohee de sakta hai jis ko saheeh tor par maloom ho shirk ki tareef kia hai.

kia ummat ke log yahee afaal ambiyaa ke liye rawaa samajhte hen? kia aise afaal log un maqamaat ke liye drust samajhte hen jin ko woh muqadas jaante hen?

agar aisa hai to phir jo fail khudaa ke siwaa ke liye jaaiz samjha jaaye woh shirk kaise ho sakta hai?

in sawaalaat par ghor karne se aap ko maloom ho ga keh islam deen hai yaa mazhab. agar mazhab hai to yeh sab kuchh karna drust hai. is liye keh mazhab insaan ko insaan ki ghulami sikaata hai issi liye log malukiyat ke ghulaam rehe, sarmayadariyat ke ghulam rehe aur mullah ke ghulam rehe.

agar islam deen hai to phir baat doosri ho jaati hai keh deene islam insaan ko insaan ki ghulami se nikaalta hai yahee wajah hai yeh kehna phir drust nahin rehta keh main falan shakhs ka ghulaam hun agarche woh woh shakhs khudaa ka nabi hi kyun nah ho.

nabi aur ummati aaqa aur ghulaam nahin hote ustaad aur shagird hote hen. yeh master aur disciple ka rishta hota hai ghulaami ka nahin. insaan apne maan baap ka bhi ghulaam nahin hota aur is ki yahee wajah hai keh insaan insaan ka ghulam nahin hota na hona chaiye.

tamaam rishte aur nisbaten haqooq aur zimmadariyun ki wajah se qaaim kiye gaye hen, is ke ilaawa in ka kuchh bhi maqsad nahin hai.

logoon ko khud ko taleem se araasta karna chahiye taakeh maloom ho jaaye kon si baat ghalat kyun hai aur kon si baat drust kyun hai. jab tak logoon ko itni aqal samajh nahin aaye gi keh woh cheezun main ahamahangi ko dekh saken un ka baaten samajhna bahot mushkil hai issi liye asal taleem hai hi yahee jo logoon ko aqalmand banaaye takeh phir woh aqalo fikar ki baatun ko samajh saken.

quran aur saheeh ahadees main har baat saaf saaf bayaan ki gayee hai magar ham log us level peh khud ko le kar nahin jaate jahan ham ko deen ki saheeh samajh aa sake. ham bas mazhabi lakeerun ke fakeer banae hen aur issi bunyaad par aik doosre par laan taan karte hen halan keh wohee kaam ham khud karte hote hen magar yeh nahin jaan sakte aakhir hamara fail drust kyun hai aur doosrun ka wohee fail ghalat kyun hai?

yahee baat ham ko aik doosre ke galae kaatne tak le jaati hai, yani hamari nasamjhi.