Advertisement

اسکولوں کے نصاب میں عربی شامل کرنے کا بنیادی مقصد

arbi zubaan ka jaanana her aik shakhs ke liye laazmi hai jo peda to unjaan huwa magar merna unjaan nahin chahta. is liye keh quraan khudaa ka kalaam hai aur is ko khudaa ka kalaam saabit kerne ka saaf saaf tareeqa mojood hai. ye alag baat hai is tareeqe ka aam logoon ko ilm nahin hai.

Atheists aur agnostics ka bunyaadi ehtaraaz ye hai quraan aik circular argument ke zariye logoon per thopa jaata hai. un ka ye ehtaraaz bajaa hai kyunkeh mulla log her taraf aisa hi kerte nazar aate hen. magar haqeeqat ye hai logoon ko ye duniya aur quraan khud explore kerne chahiyen taa keh woh haqeeqate haal se saheeh tor per agaah ho saken. mehz doosrun ki suni sunayee per aankhen band ker ke chalna aqalmandi nahin hai.

is dor main sirf aur sirf quraan hi insaanu ko issi duniya main theek tarah se jeene ka saheeh raasta bataata hai. agar koi aur insaan ya kitaab aisi hai to dikhaao quraan ke muqaable main baat khatam. nahin dikhaa sakte.

ajeeb baat hai pichhle 1400 saalun main logoon ne kitni kitaben likhi hen magar un ko ye khayaal kyun nahin aaya keh woh bhi quraan ki tarah ki kitaab likh maaren?

kia bahot se logoon ne deegar mazhabi muqaddas kitaabun ka mutaalia nahin kiya hai? zaroor kiya hai magar un sab ka abaarti style aik kahaani nawees ka style hai. sirf aur sirf quraan hi aik aisi kitaab hai aaj ki duniya main jis ki abaarat ka style lectures ka hai. yani quraan khudaa ke lectures ka majmooa hai insaanu ke liye. in lectures main munaasib had tak kahaaniyun ka zikr bhi hai quraan ke lectures ko misaaloon ke saath ujaagar kerne ke liye.

jab quraan logoon ko issi duniya main theek tarah se rehne ka saheeh tareeqa bataata hai to yaqeenan is main ye baat bhi to ho gi ke ye duniya kia hai aur kaise kaam kerti hai warna ye kitaab logoon ko kaise baaa saktri hai keh woh is duniay main kaise rahen? zara aqlo fiker se kaam to lo phir dekho quraan app ki soch ko kahaan se kahaan le jaata hai.

quraan ye baat saaf saaf saabit kerta hai quraan ussi ki taraf se hai jis ne ye duniya banayee hai. warna is duniya ke haqaaiq aur quraan ki abaarat main mutaabqat mumkin hi na hoti. lihaaza aankhen kholo aur haq baat ko theek tarah se samjho aur tasleem karo ta keh is duniya ko is ke program per amal ker ke apne liye jannat banaa sako, warna saari zindagi jahanumi hi bani rahe gi sab logoon ki aik doosre ke haathun apne apne zaati mufadaat per ladne ki wajah se. kia issi tareeqe se is duniya main jeena chahte ho merne tak? agar nahin to is duniya ko jannat banaane ke liye aap kia ker rahe ho? For a detailed explanation of things about the quran and deen of islam see HERE and HERE
 
Last edited: