Re: Watch Ishaq Dar Angry Face expression when a Journalist asked him if he will resign
khud se sawaal karne ki zaroorat hai keh sarmayadari nizaam aakhir kaamyab kyun huwa aur hai? is liye ke mazhabi aqeedun ne logoon ko is qadar mafloog ker diya tha keh log kuchh bhi kerne ko tayaar nahin hote the kyunkeh un ko yeh bataaya gayaa tha keh jo kuchh khudaa ne likhaa hai wohee ho ker rahe ga aur jo taqdeer main likhaa hai mil ker rahe ga chahye ham kuchh karen yaa na karen. yahee wajah hai mazhab ko opium of the masses kahaa gayaa.
sarmayadari nizaam kaamyaab isi liye huwa aur hai keh jo koi kuchh karna chahye us ke liye is main incentive tha. isi liye jo haath per haath dhar ker baithe nahin rehte woh kuchh na kuchh apne kiye behtar ker lete hen.
ab sawaal peda hota hai sarmayadari nizaam fail kyun ho ga? is liye keh logoon ke zehnoo main sarmaaya ki talab ab paagalpan ki had tak ponhch gayee hai. lihaaza her koi ab paisa paisa ker rahaa hai aur insaaniyat ko mukammal tor per bhool gayaa hai. is ka nateeja yahee huwa hai keh log poori tarah aik doosre ke khilaaf uth khade huwe hen aur agar yeh is nizaam ko badalen ge nahin to tabaho barbaad ho jaayen ge aik doosre ke haathun. yahee baat logoon ko deene islam ke qareeb se qareebtar le aaye gi aur yoon log jaane anjaane deene islam ki taraf jaa rahe hen. For a detailed explanation of things see HERE, HERE, HERE and HERE.