yeh inkishafaat Pakistan k munh par zordaar tamanchah hain. in se pata chalta hai keh Pakistani riyasat ko kis tarah k hukamraan, siasat daan aur Generals sambhaltay hain. saalon tak dushman naqab lagata raha aur sab ko pata tha, lekin Pakistan ka dushman giroh mulk k andar ghalib tha aur muhibb-e-watan log kamzor thay. Lal masjid case main bhi asleha wahan jama hota raha, pardah poshi karnay walay maujood thay. aisi reports se sirf itna maloom hota hai keh Pakistan main kabhi bhi, kuchh bhi ho sakta hai. kyon keh hamain maloom nai hota keh is waqt mulki iqtedaar par par ghaddar qabiz hain ya muhibb-e-watan logon ki suni ja rahi hai. ghaddaron k sar par seeng nai hotay, woh bhi zor shor se Pakistan k, awaam k geet gatay hain aur kishti main khamoshi se soorakh kartay rehtay hain aur qaum zinda bad k naaray lagati rehti hai.
لڑائی ہوتی ہی کب ہے۔ صرف بمباری۔ آپ شروع سے آخر تک کی خبریں پڑھ لو، پچانوے فیصد لوگ بمباری میں مارے گئے طالبان تعداد میں لاکھوں بھی ہوں، ان کو تتر بتر ہی ہونا ہے۔ ہاں اگر ایئر ڈیفنس ہوتا تو یہ صورت حال نہ ہوتی۔ بلکہ اس صورت میں آپریشن ہی نہیں ہونا تھا۔ (جیسا کہ ایل او سی اور سیالکوٹ بارڈر پر صرف دھمکیوں سے ہی کام چلایا جا رہا ہے۔)۔