Re: family Parties and Politics and their workers.By javaid Ch
Ch. Sahab nay baat to sahi ki hay lekin PPP aur PMLN kay khilaaf articles likhnay ka matlab normally yehi hota hay kay agla dunda PTI kay sir pay purnay waala hay.
So abb humain ready rehna chaahiye kay aglay kuch dino main Javaid Ch. kay pen say ek article PTI kay against likhha jaanay waala hay.
Re: family Parties and Politics and their workers.By javaid Ch
Chaudry sab yehi to jamoriat ki asal defination he Pakistan me..IK shaed bewakof he k us ne apni party me elction kra k Democracy k image ko hurt kia..N-league sirf Ifikhar chaudry ki retirement ka intizar kr rhi he,us k bad ye party Punjab ki MQM aur Federal ki PPP bne gi...
Ye article perh k mujhay aik waqiya yad aa gia.
Jab Shahbaz Sharif ne Lahore anay ka ailaan kia tha tou main Peshawar main tha. Main aik Private hospital mai as Medical Officer part time job kerta tha aur us hospital ka CEO PPP se PML N main new enter hua tha. Shahbaz Sharif ko Lahore airport pe receive kernay k silsalay mai PML N KPK ki aik important meeting honi thi aur programme ko hatmi shakal dani thi keh convince, khana, stay and phir reception kaisay hoga Lahore Air port pe. Udhar Musharaf bhi ailaan ker chuka tha keh Shahbaz Sharif ko aik jahaz se utar k dosray se rawana ker dia jaey ga, wo Lahore mai qadam nahi rakhay ga.
So meeting mai shirkat k lia main and hospital ka CEO PML N k Peshawar Secretariate pohanchay. Iqbal Zafar Jhagra, Shazia Aurangzeb, Pir Sabir Shah and PML N k dosray leaders bhi meeting mai shamil they. Us meeting mai aik worker ne Iqbal Zafar Jhagra se aik dilchasp sawal kia keh kahin aisa na ho keh police and Musharaf k danday aur phir Jail hum katain aur jab Nawaz Sharif and Shahbaz Sharif mulk wapas ain to yahi Musharaf k sathi us k sathi na bun jain, aik bar phir inhi ko he na galay laga lia jaey....?
Iqbal Zafar Jhagra ka jawab tha keh main 3 din pahlay London main Nawaz Sharif se mil ker aya hun, Main ne bhi Mian Sb se yahi Question kia tou Mian Sb bolay keh Pakistanis se kaho keh Nawaz Sharif Musharaf k dostoon k lia mer gia aur ub jo Nawaz Sharif Pakistan ay ga wo sirf unhi logun ka Leader hoga jo Musharaf k khilaf dattay huay hain.....
Ajj us worker ka wohi khadsha 100% sach sabit ho chuka aur Javed Choudary bhi yahi keh raha hai. Hum Khial, Ameer Muqaam, Marvi Memon, Tariq Azeem, Zahid Hamid, Sumera Malik, Hamid Nasir Chhatta aur aisay 100 se xiada politicians jo Musharaf k dast e rast they, ajj Nawaz Sharif ko sab se xiada piaray, asool pasand, qabil Izzat, Nazriyati aur najanay kia kia lagtay hain.
Yahi Pakistan ka sab se bara almiah hai.... Nawaz Sharif khud fermatay hain keh Zardari ki Govt ko 5 years complete kranay ka sahra PML N ko jata ha, Wo ye bhi kahtay hain keh loug uski AQDAAR ki politics ki tareef kew nahi kertay, wo ye bhi kahtay hain keh Awwam faisla ker lain keh Luteroon ko dobara lana ha ya NEW PAKISTAN banana ha.....
Jahan tak mera khial ha Awwam bht pahlay faisla ker chuki ha keh NEW PAKISTAN bnana ha tabhi Musharaf and PML Q ki Govt k itnay baray baray BURJ giray. Insha Allah is dafa PML N and PPP k burj girain gain.... PTI wahid umeed k tour pe logun k dillun mai baki ha.
Wah dr sahab.. Bja farma'ay .. Yeh sb aik he hatheli k chatay batay hain.. Jis thali mein khatay hain wahan he chaidd kartay. . Pak ne inhain kea nai dia per Pak ka kea bna dia. . . IN'SHA'ALLAH PTI change le kar aay gi..!