Re: Huzoorﷺ ki Seerat dekh kar aaj bhe log Emaan larhe hain - Allama Saqib Mustafai Short Beautiful Clip
zaroori hai ham log khud bhi deene islam ki asal bunyaadun se waaqfiyat haasil karen aur doosrun ko bhi un ka ilm pohnchaayen taa keh log dekh saken un ke zindagi guzaarne ke raastun aur hamaare paighaam main asal farq kia hai aur kyun hai. isi se duniyaa main deene islam ka bol baalaa ho ga aisi baaten har mazhab ke logoon ke qisse kahaanyun main hoti hen magar un ke paas woh bunyaad nahin hoti jis ki wajah se un qisse kahaanyun ko drust kahaa jaa sake.
hamaare haan bhi huzoor se mansoob bahot se aise qisse kahaaniyan bhi hen jin ki wajah se aaj log hamaare monh per bhi hamaare deen ko gaaliyan dete hen aur hamaari kitaab ki behurmati karte hen. isi liye qisse kahaanyun ka waqt guzar chuka aaj jin baatun ki zaroorat hai un ka ilmi satah per haqaaiq ki roshni main poora utarna badaa zaroori hai. warna abhi woh kuchh hone waala hai hamaare saath jis ka ham ko andaaza bhi nahin hai. is liye mullah ka peechha chhoro aur deen ki asal ko samjho waqt haath se nikal jane se pehle.
us ilm ko haasil karo jisse yeh maloom hota hai quran khudaa ki kitaab kyun hai aur logoon ko bhi wohee baat samjhaao ge to ummat wajood main aa jaaye gi warna jo thodi bahot abhi baaqi hai woh bhi nahin rahe gi jis qadar log duniya bhar main musalmaan kehlwaane waalun ko zaleelo khawaar kar rahe hen un ki apni kotahiyun ki wajah se keh unhune deen ka ilm haasil karna mullah per chhora huwa hai. jis ne musalmaanu ko asal deen se door kar diya hai.
yahee wajah hai musalmaan kehlwaane waale aaj qabren poojne main lage hen, hukamraanu ko poojne main lage hen, sarmayadaarun ko poojne main lage hen aur mullah aur peerun ki to poochhiye mat.
log bajaaye khudaa ke deen ko samjhne ke poori quwwat se pooja paat main lage hen aur yahee un ke liye asal deene islam hai. isi liye to sadyun se ummat toot kar bikhar rahee hai keh na ummat ko banaane waale baaqi na is ko parwarish karne waale baaqi. is liye musalmaan kehlwaane waalun ko hosh ke naakhun lene ki zaroorat hai. ummat ki phir se drust bunyaadun per tanzeemen nou karne ki sakht zaroorat hai agar ham ne duniya main apnaa khoyaa huwa maqaam haasil karn hai. warna lage raiye apni apni fikar main pooja paat main aur baithe raiye dawaayen karne ke liye bajaaye ummat main mojood amraaz ki dawaayen karne ke.