Re: Punjab Govt. is resposible for Model Town Killings: Judicial Commission Report
Aaj main iss baat per pohancha hoo, k Pakistani nation k saath govt jo b karti hein 100% theak karti hein, agar yaha per insaf bikta hai to bilkul theak bikta hai, agar yaha milawat hoti hai to theak hoti hai, agar yaha govt k her department main corruption hoti hai to 100% theak hoti hai, agar yaha zameendar, jageerdar, wadayra, khan, Choudry kisi kisan per gareeb per zulm kerta hai to bilkul theak kerta hai, agar yaha merit ka qatal hota hai to bilkul 100% theak hota hai, agar yaha election main riggi ng hoti hai to theak hoti hai, agar yaha judges biktey hein to theak biktey hein, yaha bhatta lete hein qabza kertey hein to theak kertey hein, agar hukmaran corrution kertey hein to theak kertey hein, agar koi yaha sharukh jatoi shahzaib ko qatal kerta hai to theak kerta hai,, kiun k hamari pakistani qoum hai he issi qabil. ye week hamari history hamara system change kerne k liay golden time tha, Imran Khan ke leadership main, magar Imran Khan masoom honest loyal bicharey ko kuj pata he nahi k hamari qoum iss qabil nahi k koi iss k rights k liay awaaz buland karey, mujhey afsos ho raha hai jab main azadi march main shamil logo ke tadaad dekhta hoo to lagta hai yaha kisi ko koi perwah he nahi, aur media per jo b zulm ke dastaein dikhai jati hein, wo sab jhoot hai, yaha koi mihngai nahi, yaha 100 % merit hai, means yaha sab acha hai, issi liay to azadi march main inthai kam log shamil hein, Imran Bhai iss qoum ko issi k haal per chor do, aur inhein issi terha na insafi k muaashrey main zindagi guzarney do, aap bilawaja apni zindagi ka qeemti waqt iss be shaour awaam k liay zaaya ker rahey ho,,, in ka koi haal nahi,,