Advertisement

پینڈورا پیپرز: عمران خان کو پھنسانے کی کوشش ناکام

Advertisement
For a person with an iota of brain, leaks of such kind don’t matter a dime when it comes to IK. Omar Sharif narrated it well; Had IK been corrupt and mendacious, he would be able to set up and operate a web of cancer hospitals of international ranking through decades.
 
jab tak qowm is baat ko nahin samajhti keh us ko bewaqoof kaise banaaya jaa rahaa hai aur kon banaa rahaa hai aur is ke khilaaf mil ker awaaz nahin uthaati is ki barbaadi koi bhi rok hi nahin sakta.

1)pakistan ko her haal main communism, capitalism aur socialism ke shakanjun se nikalna ho ga.

2)pakistan ko her haal main asal deene islam ko apnaana ho ga. yaad rakhen islam deen hai mazhab nahin hai. pakistan ko is haal main mullaan aur secular logoon ne mil ker pohnchaaya hai. lihaaza aise ******* logoon se bacho warna in ke haathun zaleelo khawaar hote raho.

agarche aisa kerna bahot hi balkeh intahayee mushkil ho ga magar aisa kiya jaa sakta hai aur kaamyaabi ke saath. agar aisa kiya gayaa to pakistan kuchh hi barson main poori tarah apne paaon per khadaa ho jaaye ga aur duniya ke sab mulkun ko peeche chhor jaaye ga.

magar agar ye do kaam nahin kiye ge to phir pakistan ke liye sirf aur sirf do hi raaste hen. aik ye keh pakistan ab hamesha hi daawan rahe ga party chahe koi bhi barsare iqtadaar aa jaaye. is liye keh ye kabhi communiston ke haathun zaleel ho ga aur kabhi capitaliston ke haathun jaisa keh hota aaya hai aur ho rahaa hai.

doosra ye keh pakistan ke log tang aa ker aapas main hi lard lard ker tabaho barbaad ho jaayen ge. lihaaza aqlo fiker se kaam lo aur woh ker guzro jo ham ko bahot pehle kerna chahiye tha. yani pakistan ko haqeeqi tor per riyaaste madina banaa do. yaad rakho jab tak communism aur capitalism ke haathun majboor raho ge kabhi bhi riyaate madina nahin banaa sako ge.

ye mulk islam ke naam per banaay gayaa tha aur issi liye banaaya gayaa tha kyunkeh musalmaanu ki hindostan main tabahi ka shadeed khatra tha. magar banaane waale qowm ko woh dastooro qanoon na de sake jin ke liye ye mulk banaaya gayaa tha. kyunkeh nizaame zindagi wohee apnaaya gayaa jo hindostan main tha issi liye woh tabahi aur barbaadi yahaan bhi hamaare taaqab main aa pohnchi. For better understanding of deen of islam from the quran see HERE, HERE, HERE, HERE and HERE.