- Joined
- Aug 20, 2010
- Posts
- 4,093
- Reaction score
- 2,727
- Points
- 113
Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: This feature may not be available in some browsers.
ye dhamakey taliban nahi kar rahay aur na hi un honey ye qobool kiya hai ,balkey jo muzakraat k mukhalf hain wo dhamakey kar wa rahay hain,Imran khan ney ye batein aaj k interview main kahin hain .
baat yah hai mein manta hon or loag bhi hain jo yeh kar rahey hain lekin kia orat ko naqab pehnanay ka jihad karnay walon ko or kuch nazar nahe ata ke iss mulk mein jo dhamakay kar rahey hain on ko pakar kar on ka gala katain kia yeh sirf ghareeb awam ya nokri karnay waley foji ke khilaf hi hai .. yeh shariyat sirf orat ke niqab par hi kiyon lagana chatay hain .. in ko yeh zardari Nawaz altaf nazar nahe atay jo logon ko jisam faroshi par majbor kar rahey hain .. kia iss mulk mein jail daiwiyon jail dood ***** ki charbi say bana ghee baichanay walon ke khilaf jihad nahe hona cheye kia iss mulk mein sarey aam pori koam ko dhoka denay wala or ossey joshey khitabat ka nam denay walon ke khilaf jihad nahe hona cheye .kia iss mulk on badmashon ke khilaf jihad nahe hona chey jo ghareeb ke 100 rupay say bhi 50 rupay bhatay mein lay ja kar London mein oratay hain .. Talban ka islam sirf orat ke niqab say shoro ho kar orat par hi khatam kiyon ho jata hai ... such baat hain Talban bhi bahot batary ****** hain ,,nahe kartay dhamakay tu jo kar rahey hein on ke khilaf kiyon nahe jihad kartay . kia kisi begunah ke katal say bara jurm islam mein koi hai .. ya jeans pehna bara jurm hain
yar mujhey yahan forum par Talban hami takfree kaha jata hai lekin mein Pakistan islam or insaniyat ka hami hon mein iss baat par tu 100% mutafiq hon ke Talban ko iss halat mein pohanchaney waley yeh so called liberals hain .. lekin who sari batiain apni jagah lekin jab aap shariyat ka nam laytay ho jiss tarah logon ke galay who kat rahay hain who kon sa islam hai .mein lal masjid operation ke sakht khilaf hon mein sipah sahaba ka sahaba ki izmat ki protection ko bhi support karta hon lekin such baat hai jo Talban kar rahey hain who bhi intahai zulm or ghair insani hai oss ki bhi saza tu milni cheye .mein agar aap ke ghar ka banda mar don tu badlay mein sirf mera katal hona cheye na ke mere ghar ke molazam ke bachay mar do or mujhey chor yeh kon sa tareeka haiAap ney aaj ka Imran khan ka interview dekha??
Imran khan ney kaha hai k 9 muhaidey taliban k Army k saath hoye aur kisi main bhi un honey shariyat nafiz kraney ka nahi kaha. aur jo muzakraat chal rahay hain wo bhi 1971 Ain k mutabik hi hon gay ,ye baat taliban ney kahi hai.
© Copyrights 2008 - 2026 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|