deene islam ka maqsad hamaari khawaishaat ki takmeel nahin hai bulkeh khudaa ne jis maqsad ke liye ham insaanu ko banaaya hai us maqsad ki takmeel hai. hamaara haal to ye hai keh ham ko to woh maqsad hi maloom nahin hai us ko poora kerna to door ki baat hai.
mazhab ko deene islam keh ker pesh kerne se mullaan ne ham ko asal deene islam se door ker diya aur ham ko is baat ka ehsaas tak nahin hai. hamaara dawaa to ye hai keh deene islam tamaam insaani masaail ka asal hal hai magar jin baatun ko ham deene islam ki bunyaad kehte hen un ka to is duniya main jeene aur jeene ke lawaazmaat se kuchh bhi taaluq hi nahin hai.
hamaara islam wohee hai jo hindu, parsi, yahoodi, isayee logoon ka hai keh in sab ka maqsad khudaa ki pooja paat hai, yaani khudaa ki jhooti tareefen kerna aur kerwaana aur woh maqsad na jaanana aur na us ko jaanane ki koshish kerna jo khud khudaa ne ham insaanu ko diya hai apni sachi tareefen kerwaane ke liye. aur sirf apni hi nahin balkeh khud insaaniyat ki tareefen kerne ke liye.
insaaniyat ki taraf se khudaa ki sachi taareef to khudaa ka nizaam is duniya main qaim kiye baghair mumkin hi nahin hai.
sach baat ye hai keh log her waqt khudaa se shikwe shikaaiten hi kerte rehte hen to woh khudaa ki sachi tareef aisi haalat main ker hi kaise sakte hen? phir agar log aisa kerte hen to kyun? aakhir jo kuchh duniya main log aik doosre ke saath ker rahe hen kia khudaa ne un ko kahaa hai aisa kerne ko? agar log woh nahin kerte jo khudaa ne kahaa hai aur woh kerte hen jisse khudaa ne un ko mana kiya hai to phir qasoor kis ka hai? ye sab issi baat ka nateeja hai keh log khudaa ka maqsad jaanane main dilchasbi hi nahin rakhte to us maqsad ko poora kaise karen ge? issi liye to un ko her tarah ke masaail ka saamna hai. jab insaaniyat in baatuin ka ehsaas ker le gi to phir hi kuchh baat bane gi warna apni apni naaken zameen per raggarte rahen aur phoot phoot ker rote rahen aap ki haalat badalne waali nahin hai. agar halaat ko badalna hai to us ke liye kaam kerna ho ga mazhabi amaal apna ker aap khud apne aap se dushmani ker rahe hen apni jahaalat ki wajah se.