ye dono GHQ kay tout hain, election mein or us kay baad jo rigging hui us pe baat nahi karein ge,
Power ki jung mein koi bhai nahi hota koi baap ya beta nahi hota,
Mendate tasleem na karney ka result is qoum ne 1971 mein dekh hi lia tha, us waqt bhi ye PPP hi thi jis ne mendate tasleem nahi kia tha, phir kia hua ye sub ne dekha, us waqt bhi Army hi sub se powerful institution tha
Ab bhi sub se powerful institution Army hi hay, ab bhi mendate tasleem nahi kia jaa raha, result ab bhi wahi hoga, sub kuch saamney nahi lakin ander-khaney boht kuch chal raha hayBalochistan to aik lambey arsey se naraaz chala aa raha hay, ab KPK, Gilgit Baltistan bhi usi raah pe chalta nazer aa raha hay.
Ali Amin Gandapur KPK ka CM hay or Islamabad se us kay arrest warrant nikaley jaa rahey, had hoti hay har cheez ki, yaani ager CM KPK Islamabad aaey to us ko arrest kar lia jay, to kal ko CM Punjab, PM ya koi or KPK mein jay to wo un ko arrest kar lein, kia ye log khana-jungi chahtey hain???