Ye sub soch hay in ki keh ye hamesha logo ko aise hi baba kar rakh lein gr. Pichle 75 saal se establishment ka koi kuch nahi kar saka is liey ye samjhte hain hamesha aise hi chalta rahe ga. Political leader aate rahe jaate rahe, in ki aksariat corrupt hone ki waja se khud ko zaleel karwate rahe or joite khate rahe. Establishment t bhi utni hi corrupt hay lakin politician kay pass in kay against koi sabot nahi. Establishment ka leader 3 saal kay liey aata hay, extension mil gai to 6 saal, martial law laga lia to 3-4 saal mazeed mil jaate hain, lakin politician bathe hain, or apni agli nasal bhi tiyaar kar rahe hain.
Lakin pahli dafa in ko koi mila hay jo corrupt nahi hay, isi liey is dafa in ka tajurba fail ho gia. Establishment compromise karna chahti hay lakin jaise Nawaz, zardari kay sath kia usi tarha lakin Imran Khan in ki tawaqa se boht hi ziada sakht saabit ho goa hay, phir ab Establishment ki problem ye hay keh shahbaz, zardari kuch bhi deliver nahi kar sake. Din-ba-din halaat qabu se bahir ho rahe hain. Ager Bangladesh model aa gia to Establishment ki hamesha kay kiey chhutti. Aaj tuk logo nein jo khouf kay butt banaey hain sub toot jaein ge. Aaj tuk jitne ghalt iqdaam kiey hain sub ka jawab dena hoga.
Ab ki dafa to Establishment ki apni sakh Dao pe lag gai hay