Watan Ke Liye Aik Dua: Khuda Kare Ke Mere Arz-e-Pak Pe Utre Ahmed Nadeem Qasmi

May Allah Help & Mercy on Pakistan, Amen. We need to repent and correct ourselves.
Dedicated to all Pakistanis currently suffering from terrorism and many other problems, Listen to this and it will bring tears in to your eyes!!!
A awesome Poetry By: Ahmed Nadeem Qasmi
Watan Ke Liye Aik Dua
Khuda kare ke meri arz-e-paak par utray
Woh fasl-e-gul jise andeishaey zawaal na ho
Yahan jo phool khiley, woh khila rahey sadiyon
Yahan khiza ko guzarnay ki bhi majaal na ho
Yahan jo sabza ugay woh hamesha sabz rahey
Aur aisa sabz ke jiski koi misaal na ho
Khuda kare ke na khum ho sar-e-waqar-e-watan
Aur uske husn ko tashvishay maho saal na ho
Har ek fard ho tehzeeb-o-fun ka aujey kamaal
Koi malool na ho, koi khusta haal na ho
Khuda kare ke mere ek bhi humwatan ke liye,
Hayat jurm na ho zindagi wabaal na ho
Aur khuda kare ke meri arz-e-paak par utray