Shukria - Qureshi Sahib - hmara koi vali-varis nahein
Tum ne janjhor kr rakh dya.
Shaed aap ki ye koshish hamain aik qoam bna de.
Aaj hi aik sikh ne Imran Khan ko talwaar ka tohfa pesh kya hai. Lekin Islam hamain unh ke haqooq ki hifazat ki zummadaari sambhalta hai.
Warna aggar ham muslman hon toa ham apni betyon ki cheekhain 63 saal baad bhi sun skte hain.
Abhi kal hi toa hamari beti Aafi Siddiqui ko 86 saal ki sza hui hai. Koi Zardari mdari, imran khan, altaf hussain ya Nawaz Shareef naam tak nahein le raha.
Yhi ke billi ke gle main ghenti kon bandhe.
Wo Ramond Devis ko chorne ke lye kahain, wo Dr. Shakeel ki rehaee ke lye khain wo Hussain Haqqani ko chra kr le jaaen - ye sab kuch ho sakta hai lekin hmare lye kuch nahein ho sakta.
Iqbal ne kha tha - kamzori ki sza - marna aur minnat smajat se marna hota hai.
Ham kamzor nahein - hmare hukamranon ne hamin kamzori ka teeka lgaya hua hai.
Haqeeqat ye hai ke ham toa maal-e-ghnimat akatha krne main lge hue hain.
Khuda ka boht bra tohfa ho ga aggar wo hamain aik qoam bna de.
Afsos ke wo hmare ooper uthne wale hathon ko rokta hai na unko sza deta hai.
blke hamain kehta hai apni be-basi se hi iss ka ilaj kro.
Hamain sirf ye tassalli deta hai ke Ham ne tumhara maal aur jaanain aakhrat ke badle main khreed li hain.
Tum dunya main aik qedi ki tarha zindgi gozaro.
Qedi ki na zindgi hoti hai na izzat.
Hr trf pabndyan hi pabndyan aur mr jaane ki zroorat.
Ham main se kuch wo hote hain jo khud hamain hi maarte hain maslan ye iqtdaar ke bhoke log, ye chor, ye daaku, sab se barh kar ye Islam ke naam pr hamain hi qatal krne wale log jese Tahreek Talbaan Pakistan.
Ham nadan hain ya ye hmara mqqadar hai. Koi nahein jaanta.
Ham darbe main band unh murghyon ki trha hain jinhain har roz aik khoon-khwar billi apni bhook mtaane ke lye nikaal kr le jaati hai aur har bechari murghi apni cheekhon se hi apni hamla-aawar billi se apni jaan ki slamti maagti hai.
Hmaare malik ye dekhte hain ke unn ko kitne dollar milte hain aur unh ki kursi kitni der rahe gi.
Aik se barh kr aik - waade rooti, kapra aur makan ke ya Rasool-ullah, Allama Iqbal, Quaid-e-Azam aur flahi mumlikat ke lekan hwas sirf kursi aur dollar ki.
Kia krain lutne wallon ke pass toa sirf cheekhain hi hoti hain 've bhai main teri behn aan, ve veera main teri behn aan'.
Kitni be-basi - ye mehsoos krne wali baat hai - kaash hmara koi vali varis hota jo ye kehta meri taaqat tum ho - dollar ya amreeka nahein.