This is how we will be remembered...

wamz4

Citizen
Salam,
Aj aik bat sochte hue mujhe ehsas hua ke hum log tabahi ke us raaste par gamzan hain jo Insan ko tabahi ke badtarin mor par la kar khatm hota hai. Kitni Qaumain guzri jinhoN ne dunya fatah ki, Sikander ne bhi aadhi se ziada dunya fatah ki, changez khan aur bad main us ki aulad ne bhi ayash musalman badshahoN ko maut ke ghat utara, laikin aj hum un main se kisi qaum ke zinda aasar nahi dekhte. In qaumoN ka agar kuch baki hai to chand khandar aur chand qisse kahaniaN.
Agar hum apni tareekh par ghor karain to Allah ne MusalmanoN ko har daur main taqweat bakhshi hai, Islam hamesha Qaim hai, Pehle Ahl e Arab ke hathoN Islam phaila phir TurkoN ne ise aik naye dhang se urooj tak pohanchaya. Magar jab bhi in main koi qaum Islam se door hue, Allah ne in ko izzat se mehroom kar dia. Laikin Islam pe kabhi koi zarab na aai.
Jo nukta main yahan wazih karna chahta hoon woh yeh hai ke QaumoN ki qismat main madd o jazar ka ansar hamesha mojood rehta hai. Qaumain Qaim nahi rehtiN sird Nazariya (Ideology) Qaim rehti hai. Ahl e Arab (except Khulfa e Rashidin) hukmaran na rahe, Turk Khalipha na rahe, Laikin Islam usi tarha Qaim raha.

Pakistan ka matlab kia "la ilaha ilAllah". Sirf sochiye ke agar Pakistan na rahe to tareekh kia kahe gi? Wada aur Qasam torna to waise bhi Gunah hai laikin Allah se wada khilafi ki saza kia ho gi yeh soch kar meri rooh kaanp uthti hai.
Sach to yeh hai ke mujhe ab samajh nahi aati ke is Qaum pe kia cheez asar andaz hoti hai? in ko kis cheez se mar'oob kia jaye? in ko in ka kia wada kaise yad dilaya jaye? Aur agar humain apna wada yaad na aaya aur hum inhi atwaar main razi rahe to is Qaum ke khak main milne se kisi ki aank namm na ho gi. Bat karwi sahi par is pe aik bar ghor zuroor kejie ga.