Sudia janay kay liy mdical report dainay walon ke ghunda gardi

abidfarooq

Councller (250+ posts)
ASLAM O ALIKUM.
aj men ap sub ke tawajo aik bohat seriuos ghunda gardi ke janib mabzool karwana chahta hon. hamaray mulk kay ghareeb loog jab mehnat karnay sudia arabia jana chahtay hen to uss kay liy medical report ke zarorat parti hea. wo medical agar pims men kar waia jay to 600 tak ho jata hea. but sudia embassy nay kuch labotries select koi hoi hen kay wahan say medical karwayn.or yeh first time medical kay 3000rs.or next time har dafa1100rs laitay hen or kisi ko be firsttime clear nai kartay. 3 ya 4 bar bulwatay hen or har dafa report men koi fault nikal daitay hen . or badtameezi ke to tamam hadain toor dee hen enn logon nay 3 labotries lahore men hen jo kay test kay liy anay walon kay sath janwaron wala salook kartay hen. na enn ko koi poochnay wala hea or na kehnay wala. pims say report karwao to sub theek hea but yeh 4 ya 5 baar chakar lagwatay hen or phir be paisay mangaty hen. or en logon ka baat karnay ka style aisa hea jaisay yeh firoon hon. insaan ko insaan nai samjhtay or phir dhamki daitay hen kay report ghalt day dyn gay or sari umar clear nai ho sakay ge. men yeh poochna chahta hon kay kia koi hea enn ko poochnay wala
 
Last edited:

swing

Chief Minister (5k+ posts)
Yar yeh sirf saudia k leye nahe saudia kuwait aur some aur countries k leye b aisa he hai mayra aik dost bata raha thaa woh kuwait mai hota hai.keh raha thaa k kuwait janay k leye medical ki report hamaysha ghalat aate hai aur GHUNDA GHARDI logo ko alag say dikhatay hain.
aur sub say baree baat k rate fix hai all over pakistan 50000 say lay ker 75000 tak report ok ho jate hai. (aur woh report jo yeh ghalat batatay hain bahir say kerwao tou thee aatee hai).
aur mazay kee baat k iss kisam k adaaro ko koee challange b nahe.
 

adnan_younus

Chief Minister (5k+ posts)
wht is soo surprising.. isnt this the tale of every office owned by pakistani govt... liek driving license, civic centre, courts, custom, cargo release, passport... ive been to all and the tale is same... like in UK my friend was given appointmt (date and time) for the document submission to make passport of his newly born son.. when he went .... the pakistan embassy was closed because of eid milad un nabi holiday..... and he took off a day from work travelled from birmingham... so this negligence, lack of civic sense and not being professional is a common case in every govt organisation of pakistan...
 

abidfarooq

Councller (250+ posts)
to bhai ess ghunda gardi ko kesay rokyn?or kiss ke zumay dari hea ess ko rokna. kon jawab day ga. hea koi jo ess ghunda fardi ko rook sakay
 

abidgr8

Citizen
does someone try complaining it to the Saudi Embassy in Pakistan?? i think if 100-200 people send a few complaint via email at least it would come in their notice.
 

abidfarooq

Councller (250+ posts)
sudia embassy ko be mail to send kee hea diakhyn wo action kab laitay hen.? but hamary media ko chahiy kay ess problem ko be high light karyn
 

Bombaybuz

Minister (2k+ posts)
100/200 complains to Saudian embassy must make the difference... and media can be a better mouth piece... per govt sai koe umeed to kya karna is main bhe commission fix hoga most definitely.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Jo qaum apni fikar us waqt kare jab mushkil main poori terah ghir jaaye to us ka haal yahi hona hai is main achampe yaa tajub ki kia baat hai?

Koi aqal ko dakhal dene ki zehmat gawaara hi nahin karta, jis ko jagaane ki koshish karo wahi apni aik alag kahani lekar beth jaata hai.

jab tak log jaagen ge nahin aur yakjaani ka muzehra nahin karen ge haalat nahin badle gi.
 

Back
Top