pakistan ko corruption main mubtila aqlo fikar se aari mullah aur un ke peechhe chalne waale jahil awaam ne kiya hai. jo mullah ko allaama ka khitaab aur bade bade alqabaat dene se nahin thakte apni jahaalat ki wajah se.
jin logoon ka imaan yeh hai keh quran kehta hai logoon ki apni zaati jaaidaaden honi chahiyen phir woh corruption ki baat ker kaise sakte hen?
apne zakaat ke aqeede per ghor karo aur dekho aap kis qadar jahil aur bewaqoof log ho. aap yeh aqeeda rakhte ho aur us ko deene islam ke sar thopte ho keh zakaat ka matlab hai 2.5% apne maal main se khudaa ke naam per dena baaqi apne paas rakhna. agar aik shakhs ko khuli chhutti de di jaaye is aqeede ke teht to kuchh hi arse baad aisa shakhs sab cheezun ka akela maalik ban jaaye ga. isse is aqeede ka deene islam ke khilaaf hona saaf saaf zahir hai. kia aap is qadar ahmaq ho keh itni baat bhi samajh nahin sakte. kia khudaa aisa aqeeda insaanu ko de sakta hai jisse insaanu ke darmiyaan maali tor per is qadar farq peda ho jaaye? phir adlo insaaf ka kia ho ga?
meeraas ke aqeede ka bhi yahee maamla hai. agar aik shakh ke paas 100 kanaal zameen ho aur us ke do bete hun to dono ko 50 50 kanaal zameen mil jaye gi. magar agar aage chal ker us ke pote aik tarafs se aik aur doosri taraf 10 hun to phir kia ho ga? aik pote ko to apne baap se 50 kanaal zameen mile gi magar doosre potoon ko to 5 5 kanaal zameen aaye gi. kia yeh adlo insaan ho ga keh khudaa aik shakhs ko 50 kanaal ka maalik banaa de aur doosrun ko 5 5 kanaal ka? phir agar agli peedi bhi aisi hi ho jaaye to kia ho ga, yani aage chal ker aik taraf se aik parpota ho aur doosri taraf se aik aik pote ke 5 5 bate aur ho jaayen? ab aik taraf ke parpote ko to 50 kanaal zameen mile gi magar doosri taraf ke parpotoon ko aik aik kanaal zameen mile gi to yeh kaisa insaaf ho ga khudaa ki taraf se?
quran to saaf saaf aur baar baar yeh kehta hai aqlo fikar se kaam lo aur adlo insaaf karo aur yeh bhi keh aik doosre per zulmo ziyaadati mat karo. kia jis aqeede ko aap apne mullah samaait zakaat aur meeraas ka qanoon kehte ho woh quran se takraata nahin hai? isi tarz ki tarah tarah ki ghalat qurani tafseeren aur tarjame musalmaan kehlwaale waalun ko le doobe hen jo apni aqlo fikar se kaam nahin lete aur jaan boojh ker andhe, gunge aur behre bane huwe hen. ab bhi waqt hai quran aur deene islam ke saath khilwaard se ruk jaao. us ke drust tarjame aur tafseeren karo apne aqlo fikar se kaam le ker taa keh aap logoon ki apne haathun mowt waaqia na ho warna aik doosre ke haathun aap ko tabaho barbaad hone se koi bhi nahin bachaa sakta. For detailed explanation of things seeHERE, HERE and HERE.