Zindaa qoum
Murdaa qoum harami fouj ki pooja karti rahey gi
Sir g, wo bhi aisy hi zinda nhi hogaye, unhon nay qurbaniyan bhi di hayn aur tareeqay say bhi chalay hayn, unmayn pride bhi bohot hay. Unka Adnan Menderes ko jab FOUJ nay latkaya tou wo aik folk hero bun gaya, yahan aj bhi , itni info k time aur exposure k baad bhi, agar koi Bhutto ki azmat aur establishment ki sazish pay baat karay tou aadha stunted growth wala Pakistan Bhutto k khilaaf ajaata hay.
Doosra unka leader zameen say utha hay, uss nay practical politics grass root say start ki hay aur ooper aaya hay, ussay pata hay political forces ko kesay na sirf engage rakhna hay balkay kesay civilian supremacy rakhni hay, wo system mayn shamil ho kay system ko change karrha hay, usnay governance dikhai hay, usnay one page aur democratic general walay naaray nahi lagaye, tou aaj dekh lo, aaj wo Pakistanio ka naya Abba bun gaya hay. One thing I do not understand is that why we get so much influenced by others and that too so quickly, kabhi hum Saudi tattoo buntay hayn, kabhi China k baghal bachay, kabhi humayn Talib achay lagtay hayn tou kabhi hum Ordogan ko apna khaleefa bana letay hayn. Hum asal mayn mental ghulam hayn, dunya ki choti choti states, even very poor states bhi aisay kisi ki as a nation chaploosi nahi karti jesay hum Pakistani karty hayn