Na mera bacha abhi nahin uthna!!

rung_baaz

Siasat.pk - Blogger
bae3c1f46feff9e928fcf74df167d7cc.jpg
 

zaigham

Senator (1k+ posts)
oh god ,,, what this women is doing in my dream oh i think holding some thing in hand ... well when we wake up we might remmeber what was it :)
 

sarbakaf

Siasat.pk - Blogger
kaash yeh qaum horan say jagti ...........
yeh to hazaroon kay marnay per bhee nahi jagi
yeh pakistan tootnay per nahi jagi
yeh watan doobnay per nahi jagi
yeh deshat gardoon kay muqablay kay liay nahi jagi....

matlab yeh kay ...kaya yeh qaum soo rahi hai ya...mar chuki hai ? are we living in a society or are among dead men walking
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
kaash yeh qaum horan say jagti ...........
yeh to hazaroon kay marnay per bhee nahi jagi
yeh pakistan tootnay per nahi jagi
yeh watan doobnay per nahi jagi
yeh deshat gardoon kay muqablay kay liay nahi jagi....

matlab yeh kay ...kaya yeh qaum soo rahi hai ya...mar chuki hai ? are we living in a society or are among dead men walking

mar chuki hai this is the fact.
We are living in a society which dead morally and otherwise.
we are living among dead men walking.
Different people are trying to wake up the nation.
one example :
SHEHZAD ROY LAGA REH LYRICS


Send "Laga Reh" Ringtone to
[Shehzad Roy (SR): Main jab dus saal ka tha tou mainay nine o'clock news pay suna kay Pakistan taareeKH kay aik naazuk moR say guzar raha hai.

Bachcha: Abbu!

SR: Main phir bees saal ka hua, mainay phir nine o'clock news pay suna kay Pakistan taareeKH ke aik naazuk moR say guzar raha hai.]

Aas baandh kar tu khaRa hai, tas say mas nahi hota
Tu hai aik aam aadmi, aray bus, ab nahi hota

[Siyaasi Kaarkun / Ali Azmat: Tou kia karun? Himmat haar doon?

SR: Nahi. Laga reh.]

[Chorus:
Laga reh, laga reh, tu laga reh
KhaRa reh, khaRa reh, tu khaRa reh
PaRa reh, paRa reh, tu paRa reh]

Laga reh, laga reh, tu laga reh
ARa reh, aRa reh, tu aRa reh
PaRa reh, paRa reh, tu paRa reh

Buzurgon nay mujhsay poochha mulk kaisay yeh chalega?
Buzurgon ko main yeh bola lagay raho, lagay raho
Buzurgon nay mujhsay poochha mulk kaisay yeh chalega?
Buzurgon ko main yeh bola

[SR: Mujhay fikr yeh nahi kay yeh mulk kaisay chalega. Mujhe fikr yeh hai kay kaheen aisay hee na chalta rahay.]

Laga reh, laga reh, tu laga reh
KhaRa reh, khaRa reh, tu khaRa reh

[SR: Yaar, mulk mein baRi tension ho gayi hai.

Buzurg: Koi nahi, koi nahi, sub kuchh Allah pay chhoR dou.]

Kuchh na kar
Kuchh na kar tu
Sab kuchh Allah pay chhoR dey
Bus Allah hee tera haafiz hai

Ae bhai, tu bhi naazuk moR ban gaya, tas say mas nahi hota
Tu hai aik aam aadmi, aray bus, ab tou dukh hota hai, yaar

[Wakeel: Koi nahi, abhi bhi baRay naik log baaqi hain iss dunya mein.]

Buzurgon nay mujhsay poochha naik kaun hai yeh tou bata?
Buzurgon ko main yeh bola

[SR: Naik woh hai jis ko mauqa nahi mila.]

Chorus (x2)

[News Reporter / Mani: Saaray mulk mein amn-o-amaan ki surat-e-haal bahaal hai.]

Bridge:-

Aur phir aik din teray pairon kay neechay say zameen nikal jaayegi
Aur phir woh tujhay kahengay
Kahengay tu uR raha hai hawaaon mein
Tu uR raha hai hawaaon mein

[Aam Aadmi / Faisal Qureshi (FQ): Tou kia hum sach much hawaaon mein uRengay? Hain?

SR: Tu nahi samjhega, bay!]



 

Back
Top