asal paighaam sirf ye nahin hai keh khud ko musalmaan kehlwaane waale aapas main aik hun balkeh ye hai keh woh aik hun kaise.
is ke liye in sab logoon ko unthak mehnat karne ki zaroorat hai ta keh woh deene islam ke baare main saheeh baat ko jaan saken aur phir us ko apnaa saken theek tareeqe se.
yeh baat in logoon main se koi nahin karta, aakhir kyun? is liye keh in logoon ki aik bahot hi badi aksriyat uthak mehnat se ji churaati hai ilm haasil karne se. ilm ko ilm haasil karne ke liye haasil karna in logoon ko achhaa hi nahin lagta warna ye log jahil kyun rehte? ye log bas utna hi ilm jaanana chahte hen jisse un ki kisi na kisi tarah qadre guzar basar ho jaaye mushkil hi sahi.
lihaaza agar is duniya main museebatun se jaan chhuraani hai to ilm haasil karo aur us ke liye unthak mehnat karo phir dekho kia hota hai.