What is the point?
What is the point?
point ye ha k mobile fones shudnt be used for flirting.What is the point?
Idher aik aur sawal bhe uthaya jana chaheaye.
Ye mobile technologies jo hamaray pass hien in say kaheen ziada high speed connections and data plans China, Japan, Europe aur America aur deegar taraqqi yaafta mumalik mein available hein.
Mera sawal ye hay keh ye mobile technology sirf hamari he nojawan nasl ko kyun kharab ker rahi hay (ager ker rahi hay), Japani aur Cheeni bachay kyun aj bhe perhai likhai mein utnay he agay hein?
Totay dekhnay ka dil tu sab mumalik kay nojawano ka aik sa kerta hay! ;)
Is lie ke humari koum ke dosrron ka munh surk dekh ker apna bi surk ker leti hai,humare taleemi nazam ne noujwan nasal ko batia hi kia hai...taleem kia our akhlaq kia hoote hain? bat wo hi hai english ki..bechare matirc men 30+3 se pass hoote hain.....wo internet our mobile ke fawaid kia jane ge.....wo wo hi keren ge jis ka ziker app ker rahe hain.......Yo ajj her internet club our mobile phone per ho raha hai.
Tu phir mobile fones aur technology ko gaalian denay kay bajai humein 'root cause' per tawajjuh deni chaheaye because unless you plan to turn into North Korea, there is no stopping technology and its increasing influence on our daily lives.
Doosri bat ye ke jo log West mein musalman ho rahay hein ya wahan reh rahay hein kia unko bhe English ko tark ker dena chaheaye?
Bahi jis mulk men rehte hain us ki zaban ko q tarak kere,bat sirif culture ki hoo rahe hai,our sub is ko doosre andaz men samjate hai........bus root cause ki behs hai sirif ,jadeed techonology ko choor ker app kahan jaien ge....Pakistani tu phele hi andere men hain....rooshnimen bi our taleem se bi.
Pakistan ki misal ese hi hai:
Kawa chala hans ki chal apni bi bhool gia.
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|