iss trah hi aana hai inqelab..... kabhi ghalib kabhi iqbal, kabhi jalib kabhi faiz.... itnay to inqelab aa chukay ab or kitnay inqelab aain gay????
jab gora Oxford or Cambridge bana raha tha tab hum ishqia shairi or taj mahal bana rehe thay.... jab france main inqelab aa raha tha tab hum rekhta main afsanvi mohabat ke qissay ghhar rehe thay.... jab gora dunia fatah ker raha tha tab urdu shairi apnay arooj per thi.... jab samraj ka nizam world war main dunia ko tabah ker ke apni hakmiat ki jarhain mazboot ker raha tha tab shaheen ko mamolay se lraya ja raha tha....
jab gora russia jaisi super power ko dhair ker raha tha tab inqelab ke naam per jidat pasand shairi ho rehi thi jo surkh rang ke sapnay dikha rehi thi.....
baatain kerne walay baatain hi kerte reh giay or amal kernay walay kahan se kahan pohanch giay