Ali Haqani
Voter (50+ posts)
Aah aaj ka din kia khabar laya hai, aik mera apna jee haan apnay ka lafz aaj buhat mani khaiz laga, aik aisa apna jis say khoon ka koi rishta nhe, na usay kabi haqeeqat main daikha na kabhi us say mulaqat hui aaj is duniya e fani say rukhsat ho gaya.
Junaid Jamshed kehnay ko sirf aik naam aur aik celebrity, laikin haqeeqat main yeh shaks hum sub ka apna thaa, jis nay mujh jaisay kai logon kay dil main apni muhabbat daali, chahay woh naghmay hoon ya naatain, usay her cheez per kamal thaa
hamaray bachpan ki aik haseen yaad thaa woh, woh us kay gaanay jin per hum jhooma kertay thay, uski shirts pehan ker khushi mehsoos kertay thay, uski cassette paanay kay liye pepsi kay dakhan jama kertay thay, aik hee channel thaa PTV jis per kabhi kabhi uska chahra nazar aa jaata thaa aur akhbaron ki cuttings ko darwazon per lagaya kertay thay, phir NTM (STN) aaya aur gaanay kay programmes main woh ziada aana shru hua, kai baras ka saath tha yeh jo waqt guzarnay kay saath thora dhundla gaya laikin aaj uski maut nay dil main kahein khoye uskay piyar ko jaga diya aur main tarap utha kay aaj woh hum main nahi.
mujhe samjh nhe aati is rishtay ko kia naam doon, fan tau nhe main uska kion kay fan tau aur bhee celebrities ka hoon, na hee uska rishtay daar hoon, tau aakhir main uska kia hoon jo aaj woh mujhe shidat say itna yaad aa rha hai jaisay DIL Dil Pakistan abhi lagay ga aur woh hum sub kay jazba e hub ul watni ko jaga day ga.
Dil bus yeh keh rha hai kay Pakistan tu hamari maa hai aur hyeee aaj tera aik tujh say shadeed muhabbat kernay wala baita shaheed ho gaya, tera Junaid chala gaya, Dil DIl Pakistan, Yehi Zameen, Maula, Dil Mangay ganay wala chala gaya, hamara aik apna buhat azeez bhai chala gaya.Allah uski maghfarat karay aur poori qaum ko sabr day Ameen

- Featured Thumbs
- http://cache.pakistantoday.com.pk/Junaid-Jamshed.jpg
Last edited by a moderator: