Syed Haider Imam
Chief Minister (5k+ posts)
Last edited:
Meray khayal main Javed Chaudhary jo kuchh bhi hon, yaqeenan hum un ko kahil aur sust nai keh saktay, woh tu mauqa patay hi kisi na kisi mulk ko khojnay nikal jatay hain. Hum un ko jahil bhi nai keh saktay kyon keh woh itna achha column likhtay hain, mushahidaat se sabaq nikal kar hamain kuchh sikhanay ki koshish bhi kartay hain. tu phir un k is column main baat aadhi poni kyon hai aur woh tareekh k bilkul ulat kia samjhanay ki koshish kar rahay hain ?
Unhon ne Iraq aur Misr ka zikar kia hai. Woh Saddam k zawaal ki wajah American hamlon aur sazishon ko qarrar detay hain aur Saddam k mazboot, pur sakoon daur k baad ki tabahi par khoob aansoo bahatay huay zahir kartay hain keh Iraq barbaad ho gaya lekin is ka hamari maujoodah soorat-e-haal se kia ta'alluq hai, iski wazahat naheen. Agar tu un k khayal main Paksitan par andar se hamla ho gaya hai aur mulk khatray main hai tu un ko apni daleel k andar chhupi jawabi daleel ko mehsoos karna chahiyay keh agar dictator Saddam ka daur khoob tha tu phir Pakistan ko fori taur par ek General ki zaroorat hai jo siasi nizam ko chalta karay, aamir ban jaey aur hum pursukoon ho jaen gey. phir tu PML-N ko credit jata hai keh awaam ko dhutkaar kar woh hamain kisi Saddam ka tuhfa denay ja rahay hain.phir unhon ne yeh baat bhi goal kar di keh state k liay sirf ek dictator aur qabristan ki kahmoshi kaafi nai hoti,awaam k masaail bhi hal karna hotay hain. Saddam ne har Iraqi ko ghar dia aur rozgaar bhi. yahan Pakistan ka ghareeb tu maidaan main nikla hi is liay hai keh us ko aaj tak kuchh nai mila, ab tu roti k bhilalay pad rahay hain.
Misr ka hawalah Iraq se bhi zyada badtar hai,kyon keh wahan na sirf fauj Jamal Abdul Nasir k waqt se musalsal iqtedaar main hai balkeh us ne Misr ko Islami dunya se hi kaat dia hai aur phir Misr ka inqilaab pichhlay saal hi nai aaya, wahan tu Akhwan aur Generals ki jang kai ashron se jaari hai.
yeh tu sabit hua keh Iraq ka tootna awaam k haq mangnay ki bina par mumkin nai hua, balkeh America ne jang kar k is ko mumkin banaya. Javer apnay watan ki inqilabi koshishon ka zikr karna bhool gaye.Pehla inqilab 14 August 1947 ko aaya tha aur hum ne ek cror se zyada log shaheed karwa k mulk lia, Javed sahib hotay tu yeh column Quaid-e-Azam ko dikhatay aur Pakistan ka plan cancel kara k dam letay. Doosaray inqilab ki ibteda Bhutto ne ki aur halaan keh unki awaam se ghaddari k sabab inqilab rastay main hi reh gaya magar jo halki si shanakht aam aadami ko Bhutto ne di, woh bhi aisi zabardast thi keh ghareeb ne apnay insaan honay par israar shuru kia aur haqooq mangnay shuru kiay. Doosara inqilaab jo asal main Bhutto jaisi lehar lekar aaya hai, is ki saalon ki jiddojuhad aur pichhlay 12 din ki kashmakash k bawajood ek gamla tak nai toota, Javed ko mulk tootnay ki fikr sata rahi hai.
Mujhay awwal tu yaqeen naheen keh yeh column Javed ka hi hai. agar yeh Javed ka hai tu phir maan lejiyay keh yeh banda badniyyati se awaam ko gumraah karnay par laga hua hai aur aisa muft main kon karta hai bhala ? lekin is tarah ki chawalain maar kar ghareeb ko behlana phuslana mumkin bhi naheen. Javed ko maloom hai keh mulk atom bomb se naheen, mutmaain insaano se mazboot hotay hain.phir bhi aisa column ?