Kin 2 Logo Pe Allah Ka Azaab Aega Maulana Tariq Jamil

aliahmad297622

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Kin 2 Logo Pe Allah Ka Azaab Aega Must Watch

Tariq jamil MAshaAllah great people to listen pakistan greatest country in the world no Dout
 

loser24x7

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Kin 2 Logo Pe Allah Ka Azaab Aega Must Watch

This show-biz Mullah is omnipresent...Her jagah paya jaata hai yeh...
 

Amal

Chief Minister (5k+ posts)
جھوٹی قسم کھانا

11701190_924991970892829_3348216404362152284_n.jpg
 

wamufti

Senator (1k+ posts)
Re: Kin 2 Logo Pe Allah Ka Azaab Aega Must Watch

This show-biz Mullah is omnipresent...Her jagah paya jaata hai yeh...


Bhai yeh na dekh kon keh raha he.. yeh dekh kia keh raha hai.. Molana TJ sb tu insaan hain.. yaqeenan ghaltiyan bhi ho jati hoon gi, gunnah bhi ho jate hoon ge... is liye aap us baat per tawajah dein jo ke Nabi SAW ki hadees ka Quran ki Aayat ka mafhoom he.. Allah SWt aap ko dheroon khushiyan naseeb kare.. ameen..
 

Zia Hydari

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Kin 2 Logo Pe Allah Ka Azaab Aega Must Watch

Bhai yeh na dekh kon keh raha he.. yeh dekh kia keh raha hai.. Molana TJ sb tu insaan hain.. yaqeenan ghaltiyan bhi ho jati hoon gi, gunnah bhi ho jate hoon ge... is liye aap us baat per tawajah dein jo ke Nabi SAW ki hadees ka Quran ki Aayat ka mafhoom he.. Allah SWt aap ko dheroon khushiyan naseeb kare.. ameen..

ط ج ہمیشہ بغیر سند کے بات کرتا ہے، حدیث بیان کرنے کی بجائے، اس کا غلط مفہوم پیش کرتا ہے۔ جو دین میں جھوٹ باندھنا ہے۔ کچھ عرصہ پہلے اس کی و م کے ساتھ وڈیو انٹر نیٹ پر تھی، جس میں اس نے اسلام کے نظام حدود اور تعزیر کو مسخ کرکے پیش کیا تھا- میں نے اس کی سند مانگی جو یہ نہیں دے سکے اور نہی انہوں نے اپنی غلطی تسلیم کی-
 

sarbakaf

Siasat.pk - Blogger
Re: Beautiful Hamd ( Meray Maula, Meray Maula), Urdu, English and Seraiki Mix

ناچدی کڑیاں
اور جھنکار والی حمد


کمال ہے بھی ، اس کو بھی حمد کہا جاتا ہے ؟


الله کا نام لینے اور تعریف کرنے کا بھی کوئی طریقہ ہوتا ہے یا نہیں ،..... جیسے ہندو گا کر اور ڈھولکی بجا کر بھگوان کی پوجا کرتا ہے تو کیا اب مسلمان بھی اتنا ہی جہالت کی پروکار ہو گا ؟
 

IMRANKHAN1

Minister (2k+ posts)
Re: Beautiful Hamd ( Meray Maula, Meray Maula), Urdu, English and Seraiki Mix

Jahil log. Pls delete this post
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
hamd ka maani pooja paat nahin hota balkeh khudaa ke takhleeqi shahkaarun par bahot hi mutahasir ho kar us ki kibriyaaee ka dil ki gehraayun se ehsaas karna hota hai jis ka izhaar zubaan par bhi aa jaata ho. rati rataayee banaavaty baaten karna khudaa ke baare main jahaalat kehlaata hai.

naate rasool woh baat kehlaati hai jo Allah ke rasool ke un kaarnaamun ko saamne rakh kar dil main peda hui mohabbat ko zaban de de jo khudaa ke rasool ne Allah ke deen ko duniyaa main aashnaa karna ke liye anjaam diya. rati ratayee banaavaty baaten khuda ke rasool ki taraf mansoob karna pooja paat kehlaata hai naate rasool nahin.

pooja paat ka matlab hi yahee hota hai aap kisi devta ko apni chaaploosi se khush karna chah rahe hen kuchh haasil karne ke liye. Allah aur us ke rasool aisi baatun se waraa hen. Allah ke achhe bande bhi aisi jhooti tareefen apne liye pasand nahin karte na hi khud is tarah ki tareefen doosrun ke liye pasand karte hen.

ummat ki aik bahot badi aksriyat buri tarah jahaalat main doobi hui hai is liye logoon ko deene islam ka saheeh ilm hi nahin lihaaza har koi khudaa aur rasool ke naam par najaane kia kia kar rahaa hai. agar kuchh karna hi hai to ilm haasil karo yahaan tak keh aap yeh jaan sako saheeh kia hai aur ghalat kia hai. us ke baad pata chala ga ibaadat kia hoti hai aur pooja paat kia balaa hai. ham khudaa ke abd hen yaa pujaari.

deene islam insaanu ko duniya main saheeh tarah se zinda rehne ka tareeqa bataata hai. yeh tareeqa bataane se khudaa ka maqsad yeh hai keh insaan is tareeqe par chal kar khudaa ke us maqsad ko poora karen jis ke liye khudaa ne yeh duniya banyee hai. khudaa ne yeh duniya insaanu se apni pooja paat karwaane ke liye nahin banayee hai balkeh apni pehchaan karwaane ke liye banyee hai. allah ki pehchaan us ke do kaamun ke zariye hi ho sakti hai yaani takhleeqe khudaa wandi se aur waheeye khudaa wandi se. jin logoon ko na khudaa ki takhleeq ko samajhne se matlab hai na us ki wahee ko samajhne se woh log jo chahye karen woh khudaa ke maqsad ki taraf har giz tawajo nahin de rahe.

lihaaza jahaalat se khud nikalne ki koshish bhi karni chahiye aur aik doosre ki madad bhi. yahee bunyaad hai deene islam ko saheeh tarah se samajhne ke liye aur us par theek tarah se amal peraa hone ke liye. ilhaaza un logoon ke peechhe na chalo jin ko khud ilm nahin hai woh kia kar rahe hen kyun kar rahe hen yaa kidhar jaa rahe hen aur kyun jaa rahe hen.

qurano hadees main istemaal kiye ge ilfaaz ke woh maani nahin hen jo ham ko mullah log bataate hen issi liye ham ko aik aik lafz par ghoro fikar ki zaroorat hai. wajah yeh hai khudaa ne apna kalaam insaanu hi ki zubaan main naazil kiya hai magar usse maqsad apna mudda bayaan karna hai insaanu ka nahin. issi liye ham ko khudaa ke kalaam ko khudaa hi ka kalaam samajh kar us ko samajhne ki koshish karni chahiye. yahee wajah hai ham ko ilfaaz ko woh maani dene se guraiz karna ho ga jo khudaa ki shaan ke khilaaf hun.
 
Last edited: