mahmoodsani
Councller (250+ posts)

Aslam o alikum pahly to ye bata do k main aik PTI member ho aur aik die hard fan bhi.
main nay aaj aik show daikha jiss main tajir bradri aur androonay lahore k logo nay hisa liya.main ye daikh kar hairaan rah gaya k lower class log ab bhi nawaz sharif ko bohat support kartay hain aur literally imran khan ka koi voter nae daikha.
now that was a shocker for me
mujhy jiss cheez say ziada hairat hoti hay wo ye hay k in logo ki soch hay kia .inka damagh kidher hay.inka judge karnay ka tarika kia hay.ye berozgar hain.ye bhookay hain in k pass bijli nae .mahangai aasman say batain karti hay.
likin ye phir bhi unhi leaders ko support kar rahay hain.kiya ye sab samajhnay k liyay para likha hona itna zruri hay.in k damagh itnay maoof kaisay ho saktay hain.
to main to isi natijay par pohancha ho in logo ki halat kabhi change nae ho g.
JO LOG APNI HALAT CHANGE NAE KARTAY ALLAH US KOOOM KI HALAT CHANGE NAE KARTA
having said that i want to say k main umid nae haro ga aur apna role pakistan kay hak main ada karta raho ga.
pakistan zindabad
i am
MAHMOOD SANI PAKISTANI
Last edited by a moderator: