duaa ka asal matlab Allah ke qanoon ko awaaz dena hai yani us per theek tarah se samajh ker inhisaar karna hai. is ki wajah yeh hai khudaa ki yeh duniya us ke set up systems aur raaij qawaneen per chalti hai insaanu ki ahozaari per nahin. is ki wajah yeh hai khudaa ne yeh duniya aur is main her shai aur insaan apne maqsad ke liye banaaye hen. yahee wajah hai insaan apne rone dhone se khudaa ko apne maqsad se hataa nahin sakte. logoon ki to kayee tarah ki darkhawaasten hoti hen agar khudaa un ki khawahishaat per chal pade to apna maqsad kaise poora kare ga?
lihaazaa insaanu ke liye behtar yahee hai keh us ke systems aur qawaneen ko samjhen aur us ke mutaabiq chalen taa keh unjaan reh ker khud ko museebatun se do chaar na karen. warna rote rote zindagiyan guzar jaayen gi magar khudaa ne jo karna hai wohee hota rahe ga. is liye duniya ko samjho aur deen ko bhi aur apni duniya ko ussi ke bataaye ke mutaabiq chalaao. issi main insaaniyat ka apna bhala hai.