Jaha tak mein pakistani sahafio ko samjha hoo, ye log apne aap mein aik Judge, Aik Khuda, Aik Firon hein, ye kehte hein duniya ka sara Ilm hamare paas hai, duniya ke saari history hamein pata hai, Duniya mein koi aisa insan nahi jo hamare khilaaf baat ker sake ,, hum ne jo keh dia wo pathar per lakeer hai, aur dosro ko hamari baat her surat manni parey ge,, ye kale ko safaid aur safaid ko kaala pesh karne ka hunar jante hein magar jab se social media aaya hai to aam awaam in behroopio fraudioo ko bohat achi terha se jaan chuke hein, ab jab in sab ke asliyat sab k samne ayaa ho rahi hai ahista ahista to ye jo apne aap ko Khuda, Judge aur firon samjhte hein in ke khudai ab khatam ho rahi hai, jaha jate hein log in per laanat bhejte hein inhein in ka gharebaan jhankne ko kehte hein..