Pata nahi ye pakistani danishwar kis mou se tehzeeb ka word use karty hain ? mujhe toh ye samajh nahi aati . Choron ko chor na bola jay .. log mar rahy hain har din .. jin ke la parwahi se mar rahy hain unko bura kehna bad tehzeebi hai .. tehzeeb ki dairy main lakhon pakistani mar gaye uski kisi ko parwa nahi ... Jo arbon kha gaye unko tehzeeb ka khayal nahi raha par jo arbon khany walon ko kuch bolain unko tehzeeb ke dars dety hain.. kya munafiqana moashra hai tabhi zaleel ho raha hai puri dunia main .... tehzeeb waly log har field main dunia ke badtehzeebon se dooor neechay second last number par khary hain... Agar Afghanistan na hota toh ye tehzeebi danishwar dunia mai second last ke bajay last par hoty apni tehzeebi topi pehan kar .. bysharam byhaya qoum