'Gas explosion' as CNG tipped to be over Rs 100 a kg.

CoolDool

Minister (2k+ posts)

64d77c739e300aeb9b2d2ae23f30d9a4.JPG
 
Last edited by a moderator:

atifsharif

MPA (400+ posts)
Re: CNG will now be availabe @ Rs100/Kg

Good i think .. Gas luxury purpose ke liye use nahi honi chaiye ... Cng pe gariyan le ker ana aur government ka is pe control na rakhna i think ghalat faisla tha jis ki waja se aaj pure pakistan ke choohle thande pare hain .. Gharoon main gas nahi hay power stations ko gas supply ki problem ... It must b 200 rupees per kg ....
 
cefspan

200 rs , R U Out of your mind?

CNG is approx 58 rs now , sarae Hiace / wagons / vans and even local buses run on CNG. In pae gareeb log , students , aur mazdoor wagairatravel krtaen haen . jab loog shift kreaen gae vehicles ko CNG sae petrol aur diesel pae , then ultimately inflation tou barhae gae.................
 
susspense

Voter (50+ posts)
Re: CNG will now be availabe @ Rs100/Kg

U KNOW " CNG BAND HONY SE RICKSHW 'BUS'TAXI' CHLANY WALY SAB KESE KHRCHAY BRDASHT KREINGY???? JO MILLIONS DOLLAR K CNG STATION WO BRBAAD ""13 BOLLION DOLLAR SE 26 BILLION DOLLAR OIL IMPORT KRNA PREGA::AAPKI INDUSTRY KI COST ZYADA AYEGI JO WORLDWIDE CMPARE NAHI KREGI ....SOO JST THINK ABOUT IT K MULK TBAAH HOGA OR ISKI ECONOMY...JST 6 PRCENT POORI GAS KA CNG MEI USE HOTA HAI ...KIA ZYADA HAI YE??????yr bas in k murnnay ka intezaar krr rhy han...jo sab kuch hony k baad b is mulk ko barbaad krr rhy han ...shaid india hota wo b istra ki policies na bnata humry lye...inshallah ****** ki mout mreingy ye..
 
atifsharif

MPA (400+ posts)
Re: CNG will now be availabe @ Rs100/Kg

brother .. Hiace WAgons Vans ... these are private transport ... ager mere bas main ho to main ... ... pakistan main public transport main se bus aur rikshaw ke liye gas 40 rpz/kg rakhoon aur baqi jo cars main lambe lambe safar karte phirte hain sari private garion ko gas supply karta 200rps/kg .. raha sawal students ka ... dear students ko public transport use karni chahiye na ke bike aur cars ... aap ko ye student nazar a rahe hain .. sirf textile industry ko gas na milne per monthly 1.5 arab dollars ka nuqsan ho raha hay ... aap ke bohat sare power plant gas na hone ki waja se band pare hain ... KESC main bijli ki shortage gas na milne ki waja se hay ... industries main jo hay woh hay dosri taraf dekhain ... gharoon main gas ki loadshedding LPG ka rate dekh lain ... bhai ye aap ki zoororat e zindagi hay .. .. ayashi ke liye nahi .. cars aur land cruisers aur dosri purtaish sahooltoon ke liye ager zarooriat e zindagi main istamal hone wale qudarati asasa istamaal karain ge to woh din door nahi jab aap is se bhi mehroom ho jayain ge ...