mulki mufaad main yeh hai keh sab mil baith kar mulki dastoor main woh tabdeeliyan laayen jo awaam ko hakoomat se baala tar haqooq den aur awaam ke liye khushgawaar zindagi ki zaamin hun. agar aiasa na huwa yaa kiya gayaa to aaye din civil war ka khatra har waqt sarun par mandlaata rahe ga.