Anbia ki Bashriat - Moulana Ishaq

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Re: حضرت عثمان غنی (رض) کی شہادت کا واقعہ Watch & Share

ambiyaa ki bashriyat ka masla deeni lihaaz se bahot hi aham hai kyunkeh is main aik zabardast saazish ka pehloo paaya jaata hai.

saazish yeh thi keh khudaa ke deen ko mazhabi main tabdeel kiya jaaye.

yeh saazish baadshahun ne ki thi aur isi liye mullah ka wajood aik bunyaadi hesiyat ikhtayaar kar gayaa baadshahun ki pushtpanahi ki wajah se.


deene khudawandi istabdaad ko haraam kehta hai isi liye kisi shakhs ki kisi doosre shakhs par hukamaraani ghalat hai baat hai. ab un logoon ne apne liye koi tareeqa to nikaalna hi tha jise woh apna istabdaad qaaim rakh saken lihaaza deen ke muqaabil aise logoon ne mazhab ijaad kiya. aur yun mazhab ke zariye insaaniyat ko deen door kar diya.

logoon ko duniyaa main drust tareeqe se zindagi guzaarne ke bajaaye log khudaa ko khus karne ki fikar main lag gaye aise aise tareequn se jin main insaniyat ko taleel ke siwaa aaj tak kuchh bhiu nahin mila. bebunyaad aqaaid banaa liye aur un aqaaid ke mutaabiq kuchh rasumaat ghad lin aur kuchh qisse kahanaiyan banaa lin.


in main sab se badi saazish ki baat yeh thi ke khudaa tak rasayee rakhnaa kiis buland mukhlooq yaa hasti ka kaam hai aam aadmi kahan aur khudaa ki zaat kahan. ise un ka maqsad aam logoon k aise logoon se mutanafar karna tha jo khudaa ki taraf se aate the ta keh log un ki baat hi na sune aur in logoon ki hakoomaten qaayemo daayem rehen.

is tarah logoon ke zehn banaaye keh woh har us shakhs ko nabi hi nahin maante the jo khudaa ka paighaam laane ka dawa karta tha.

shakhsiyat ki bulandi ko yahan tak le gaye keh jo shakhs khudaa ki taraf se aye ga woh khudaa ka numaainda hoga is liye us ke paas kuchh bhi karni ki taaqat ho gi aur yun woh ajeebo ghareeb kaam kar sake ga. isi ko log mojzaat kehte hen. isi liye jab bhi koi khudaa ka nabi hone ka dawa karta log foran use se mojzaat ki farmesh karte. ab khudaa ka nabi aslan aiasa hota nahin tha is liye woh un ke khud saakhta mayaar par poora nahin utarta tha aur yun woh us ka inkaar karne main khud ko haqbajaanib mehsoos karte the.

yahee waja hai quran ne nabi ko baar baar insaan bataaya aur yeh ke us ka kaam logoon ko aqal sikhaana hai jaisa khudaa ne khud us ko aqal sikhaaya malumaat wahee kar ke. ta keh insaan khudayee manshoor ko samjhen aur samajh kar doosrun ko samjhayen ta keh log ikathe hun aur tanzeem bandi karen khuayee dastooro qawaaneen ke mutaabiq aur yun achhe tareqe se amno salaamti ki zindagiyan guzaren.

yahee waja hai har nabi ke baad bhi us ki ummat ke ehle ilm ne us ke paighaam ko zinda rakha aur us ke mutaliq logoon ko agaah karte rehe. aaj yahee ho raha khud hamaare nabi ki wafaat ke baad. quran ki yahee ehmiyat hai keh woh khud main aisi malumaat rakhta jo is ko aik tarah khudayee kalaam saabit karti hen aur doosri tarah insaaniyat ki mukamal rahnumayee karta hai drust raaste ki taraf.


ham log to foran keh dete hen gher muslim logooin ne yeh kiya aur woh kiya magar khud apne garebaan main nahin jhaankte keh ham un tamaam kharafaat main sar se le kar paon tak phanse hue hen.
 

Back
Top