sab baaten apni hesiyato ehmiyat kho deti hen jab un ke maqsad ka hi saaf saaf taayun na kiya jaaye.
issi liye ham insaanu ko sab se pehle yahee baat teh kerna ho gi keh asal islam hai kia? ye deen hai ya mazhab ya deeno mazhab.
agar islam bhi deegar mazaahib ki tarah sirf aik mazhab hi hai to ye utna hi befaaida aur bekaar hai insaaniyuat ke liye jitna keh deegar sab mazaahib. kisi bhi mazhab main ye ehliyat hi nahin hoti keh woh insaaniyat ko woh faaide pohnchaa sake jo deene islam ke zariye khudaa insaaniyat ko pohnchaana chahta hai.
agar islam ko deeno mazhab banaa diya jaaye to ye jhoot aur sach ki aik khaternaak milaawat ban ker reh jaata hai jo ulta asal deene islam hi ke baare main insaanu ko mazeed uljhanu main daalne ka sabab ban jaata hai.
lihaaza islam ko sirf aur sirf deen hi maanane main insaaniyat ki bhalayee hai warna tabahi aur barbaadi hai insaaniyat ki. asal deene islam mazhab aur secularism ka pakka dushman hai. is liye keh ye dono nazriye mil ker insaaniyat ko shadeed tareen nuqsanaat pohcnaate hen jab keh asal deene islam insaanu ko her tarah ke nuqsanaat se bachaana chahta hai aur sirf yahee nahin balkeh insaaniyat ko taraqi ki un bulandiyun per pohnchaana chata hai jin tak insaaniyat aur kisi tareeqe se bhi pohnch hi nahin sakti chahe jo marzi hai ker le aur issi liye insaan ko ashraful makhluqaat kahaa jaaye ga.
lihaaza jab tak insaani shakal ke jaanwar is haqeeqat se khud ko aashnaa nahin kerte woh jaanwar hi rahen ge. lihaaza aise insaanu se insaaniyat ki tawaqo kerna befaaida hai. insaan insaaniyat tab hi dikhaa sakte hen jab woh asal deene islam se khud ko achhi tarah se waaqif karen. anpadh aur jahil logoon ke khud ko musalmaan kehlwaane se duniya main koi musbit tabdeeli nahin aa sakti balkeh jab jab insaan asal deene islam ko seekhte jaayen ge tabdeeli aati jaaye gi. is liye keh insaanu ko un ki zindagi ka asal maqsad maloom hota jaaye ga aur woh us ko haasil kerne ke liye munaasib iqdamaat uthaate jaayen ge.
mazhab insaanu ko pooja paat main lagaaye rakhe ga aur yun insaanu ka waqt barbaad kerta rahe ge jis ki wajah se log khud apna pait tak paal nahin saken ge. secularism bhi insaaniyat ka waqt barbaad kerta rahe ga is liye keh yeh nizaam bhi to manfi taqaabul ke asool per mabni hai. secularism doosrun ko nuqsanaat pohnchaa ker apni apni zaat ke liye jeena sikhaata hai jin se achhaa bhala insaan bilkul hi aik jaanwar ban ker reh jaata hai. woh apni zaroortun ke siwaa kuchh bhi sochne ke qaabil hi nahin rehta.
lihaaza her shakhs ko apna qibla drust kerne ki fiker kerni chahiye warna kuchh haasil nahin hai bemaqsad zindagiyan jeene se ya ghalat maqaasid ke liye jeene se. iss liye apne liye drust maqsad ka theek theek tayun kerne ki socho taa keh woh insaan ban sako jo khudaa insaanu ko asal main banta dekhna chahta hai.
khudaa ki wahee woh chaabi hai jo insaanu ke liye aik khaas ilm ka darwaaza kholti hai. woh ilm insaanu ko jeene ka maqsad bataata hai aur woh raasta bhi bataata hai jis per chal ker insaan woh maqsade khudaawandi poora ker sakte hen jis ke liye klhudaa ne unhen peda kiya hai.
kabhi soorah 110 yani nasr ko ghor se padhiye keh is main asal baat kia ho rahee hai. is main ye bataaya jaa rahaa hai keh jab khudaa ki nusrat aati hai to kia hota hai.
ab sochne ki baat hai insaanu ke liye khudaa ki nusrat kia ho sakti hai? khudaa ki wahee. yaani woh ilm jisse insaanu ke zehn khulte hen aur insaan badi soch ke maalik ban jaate hen. chhoti chhoti baatun per aapas main nahin ulajhte. jab insaan badi soch ke maalik ban jaate hen to woh bade bade kaam kerne ki sochte hen. yahee wajah hai wahee ka ilm koi mamooli baat nahin hoti. issi liye log joq dar joq deene islam ki taraf kichhe chale aayen ge jab jab un ke zehn khulen ge wahee ke ilm ki roshni se.
jab log aisa hote dekhen to kia karen? khud ko aik ummat banane ke liye organise aur regulate kerne ke liye tayaari pakden ta keh sab mil ker woh khudayee maqsad poora karen apni apni sakht mehnato mushaqqat se jis ke liye khudaa ne unhen peda kiya hai. aur woh maqsad kia hai? woh yahee maqsad hai keh insaan aik behtareen maashra qaaim karen khudaa ke diye huwe naqshe ke ain mutaabiq khudaa ki mumlikat main taa keh her taraf khudaa aur insaaniyat ke danke bajen. yahee hota hai asal hajj aur umra ya jihaad. yaani tameere ummat ke liye jido johd wahee ki roshni main dalaail aur sabootun ke saath. yahee woh asal paighaam hai jo mullaan ko apni kam ilmi aur jahaalat ki wajah se samajh main hi nahin aaya. khudaa ne apni wahee insaanu ke zehnu ko kholne ke liye bhaiji thi na keh band kerne ke liye. phir mullaan ki tang nazri kahaan se ayee hai?
log saheeh maanu main asal deene islam main ussi waqt daakhil hun ge jab un per asal deene islam ka raaz khule ga na keh idhar udhar ki betuki aur bekaar baatun se jin ka aapas main koi taaluq hi maloom nahin hota. For better understanding of deen of islam from the quran see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE.