mere walid ne wafat se pehle aik naseehat ki thi. hamesha ye dua kerna ke Khuda tumhain itni ziada dolat na de ke tum gumrah ho jao, or kabhi itni ghurbat na de ke tum Khuda ki nematon se mayoos ho jaao.
hawas parasti ne hum sub ko andar se maar dia hai. ye baat sahi ke khud kushi haram hai, per kia pakistan main ghareeb ki koi zindagi hai, agar zinda hai to kia izzat hai? sirf aik example dena chahoon ga. aap main se bohat se educated log iss forum per hon gay. kuch sahib-haisiat bhi hongay jin ke ghar nokar ya nokrani bhi hogi. kia is muslim country main oos ghareeb nokrani ki izzat apnay malik ke haath se mehfooz hai jis ke ghar wo mahz thoray se paison ke liay safai waghaira ka kaam kerti hai?
aisi hi un ginat buraion se bharay paray hain hum, hum apni ghalti manena hi nahi chahtay, or phir khud kushi or mayoosi bhi haram hai. to kia ye bhi oon bachion ko iss zalim samaj ke rahm-o-karam per chhor deta????
qasoor sirf politicians, army, bureaucracy ka hi nahi, qasoor hum sub ka hai, hum sub in bachion ke qatil hain, hum bohat asani se Hazat Omer (R.A) ka reference de dete hain per wo hadith bhool gay jis ka mafhoom kuch iss tarah hai ke wo shakhs momin nahi jo khud to pait bhar ker khay oor oos ka hamsaya bhooka rehe.
video dekhi, aansoo bahay, hakoomat ko galian din, ghareeb ki ghurbat ka rona roya, raat ho gai, so gay or agli subah uth ker phir wohi zindagi hamari hai
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|