Bombaybuz
Minister (2k+ posts)

Do sawal hain jo apney forum mates sai poochna chahta hoon ... aur umeed karta hoon k us k baad taswer kuch clear ho sakey ge at least meray leya ...
1. Ya kahna ka PML N kam corrupt hai PPP sai aik aam sentence hai jo main rooz sunta hon, ya k kya hua ager PML ney kuch khaa pee leya at least unhon ney texiyan aur Laptop deya tou ... ya jo aaj kaal bahes chaal rahe hai k jee N sethi bahter hai M luqman aur T hussain ya vice versa...
A. Kya hum ney ba-hasiyat qoum tasleem ker leya hai k clean kuch nahi hai aur less corrupt full corrput sai better hota hai.
B. kya Iklaqiyaat ka koe mayar raha he nahi hai society main.
C. Kya Sab logh asaa he sochtey hain ya phir ya sirf mafad-parast toley ki sooh hai.
2.Ab 2nd question ... "kya mera ghalat karna aap ko ijazar deta hai k aap bhe ghalat karain" aik strange argument hai jo main assembly sai ley ker apney gher tak main sunta hoon ... aap kesi ki mistake point out karain woh except ya reject karney ja bajaye aap ki 4 mistake aap ko bata dey ga ... ya he haal politicans ka hai koe nahi kahta main ney corruption nahi ki ... woh kahey ga jo kah rahey hain unhon ney bhe tou ki hai ... siasatdan nahi pahley general aur judge ka ihtesab hona chaheya ... and much more
A. Aaab woh wali woh farishta kahan sai laya jaye jo haq ki baat kah sakey ... jis ney koe gunnah na keya ho k rajam ka pahla pather mar sakey.
B. kya is tarha Amar bil maroof aur naye anil munkir (which is mentioned more then 11 time sin quran only) ka denail he nahi ho jata.
C. Kya is baat society is no asalon pay chalay ge k "Andhoon main kaana raaja hota hai " aur "Choori karna paap nahi pakrey jana paap hai "
Ager comment ki bajaye muktasir aur to the point jawab dey sakain tou hum sab ka concept clear ho sakta hai in this regard ... Thanks in Advancce.