کیا ہم بے ایمان قوم ہیں؟

Altaf Lutfi

Chief Minister (5k+ posts)
ham shru se tu aisay na thay, kuchh tu aalami satah par hamaray qaumi zawaal ne infiraadi kamzoriyun ko janam dya, society mein insaaf ka chalan na raha tu har kisi ko adam-tahaffuz k ehsaas ne gher lia, chunancheh zyada maal, zyada security aur zyada taraqqi ki fikar mein lag gaye.aksariyyat k paas taraqqi k zaroori wasael yani taleem, sarmaya aur rahnumaai naheen thi, so unhun ne dusarun ko neechay giranay aur hewani andaz mein ghatya si harkatein apna lenay ko hi kamyaabi samajh lia.yeh phal farush is liay fruit rang rahy hain keh khareedar ki tarjeeh quality naheen, rang hai aur hamara wateera bhi zimmadari ka nai, rang baazi ka hai. Kya ham 60 saalon se musalsal rang baaz rehnumaaon ko tarjeeh nai detay aa rahay ? yehi phal khaao aur hospital jaao, yehi leader phir aazmaao aur baaqi mulk k totay karwao. Zalzalay, sailaab aur Pakistani Taaliban hamein jaganay mein buri tarah nakaam huay. Qaum "dil pishauri" mizaaj ki ho gai hai, zarda pakna chahiyay, khawah amman k marnay par hi kyun na pakay.
 

frenes

Chief Minister (5k+ posts)
Mircho main Rang
Ab Phlo pr Rang
Ghost main Pani
Dodh main Pani
Ghee main Moom
Murda janwar
Adviyat main jailsazi
Naap tool main kami

n list gosssssssssss onnnnnnnnnn
Ab b pochty ho k kiya hum ,,,,,,,,,,,,? bholy badsha
 

ramay67

MPA (400+ posts)
اگر ہم خریدار صرف اس دوکاندار سے پھل خریدیں جو انہیں رنگ نہیں لگاتا تو آہستہ آہستہ سب رنگ لگانا چھوڑ دیں گے ۔ بحیثیت مجموعی ہم بےایمان نہیں بلکہ رنگ باز قوم ہیں
 

Back
Top